dil ko tumhari yaad sey azad kiya hai
khod ko kabhi aise bhi to barbaad kiya hai
kuch soch key jis pal tera dil zor sey dharkey
yeh jan lena hum ney tughe yaad kiya hai
yadoon mein teri raat gaye deep jala kar
akser shab e tanhai ko abaad kiya hai
tugh sey teri wafaoon ki kharaat mang kar
khud aap apni chah ko faryaad kiya hai
aye dost tu ney tark e taluq key wastey
kesa yeh sitam ikk naya ajaad kiya hai
ab dil to mohabbat sey hi ghabrane laga hai
kuch aisa teri chah ney nashaad kiya hai |