hum teree mehfil se uthhay daastaaN honay ke baad | |
Aik taaza koshish aap loago k liay paish hai
ajnabi kehta tha khud ko aashna honay ke baad
ho gaya na-mehr'baa'N kyun meh'rbaa'N honay ke baad
zindagi k roz o shab youn chup huay hen teray baad
jiasay sannaata sa ho jaey fughaa'N honay ke baad
maah-e-wash ujla kabhi badli me sharmaata hilaal
chaand ke sau roop thay taareekiyaa'N honay ke baad
kho dia tumko , tumharee yaad murham ban gaee
dil saja jashn e bahaaraa'N se khizaaN honay ke baad
Kuch raqeeboN ka karam tha kuch meree deewaangi
Mein teree mehfil se uthha daastaaN honay ke baad
jiski khaamoshi bhi *Ahsan thee adaa e dilnasheeN
janay kya dhaaey qayamat woh bayaN honay ke baad
__________________ Sehra mein ... Justujoo teree lay aai @};- |