Quote:
|
Originally Posted by DIL Salaamz Wa Rehmah!
Meray liyey alfaaz say khailna hamesha mushkil hi raha hai q kay meri urdu bus guzarey layik hi hai. Lekin mujhaye pata hai meri taba azmaii app sab bardasht ker layen gaye. Akhir ko pehlaye b kertay ayey hain. Here I go: Teri Her Adaa Kay Sadqay
Teri jafa kay sadqay
Teri bey rukhi kay sadqay
Tera ruthnay say pehlaye
Khamshi say takna
Aur mananay sey pehlaye
Halka sa muskurana
Main kaisay bhul jaon?
Aye meray jaan-e-jana'an
Teri her adaa kay sadqay
Jisay bhula kay socha
Jisay gunvah kay mangaa
Bey hisaab chaha
Jisay her ghari hi dhunda
Woh ik teray ilawa
Koi dosra kahan hai?
Aye meray jaan-e-jana'an
Teri her adaa kay sadqay
Teri ankh ka ishara
Teray labon ki junbish
Tera piyar say yun takna
Tera bey wajha woh hunsana
Kiya kiya na yaad aye?
Aye meray jaan-e-jana'an
Teri her adaa kay sadqay
Kabhi kehna b jo chaha
Qaful per gaye labon per
Izhar kaisay kertay, iqraar kaisay kertay
Yahan kehna kiya asaan hai ?
Aye meray jaan-e-jana'an
Teri her adaa kay sadqay
Woh phool jaisi subhein
Woh khawab jaisi shaamein
Woh khamoshi main baatein
Woh jeet mein b maatein
Mujhaye yaad hain abhi tuk
Woh bey panaah chahtein
Saval ab yehi hai
Saraab kion howin woh?
Aye meray jaan-e-jana'an
Teri her adaa kay sadqay
*~~Farah Munawar Shah~~*
|
Aadaab O Tasleemaat: Farah Sahiba!
DekhaiN koi bhii nazam, ruba'ee, qita, ya ghazal bardaaSht naheiN balkay paRhee jaatii hai ... Aur paRhne k baad usay pasand bhii kerna chahiay her kisi ko kyuN.k sha'ir ne mehnat kee hai ...
Albatta her kisi k likhnay k mayaar meN farq hota hai ... Aap beher meN sher kehnay kii koShiSh kiya keraiN, aahista aahista uss per bhii giraft aa jaa'ayga ...
Aap kii yeh nazam paRhne k baad yeh to andaazaa hogaya k khayaalaat k maamlay meN aap zar.Khez haiN, bas thoRii cee maShq kii zaroorat hai
Achchha likhtii haiN, likhti rahiayga
Qassim Mirza
:Qassim: