Quote:
|
Originally Posted by kanch ki mehroo aik purani ghazal paish-e-khidmat hai/rose *~* Zindagi ki shaam ab hone ko hai *~*
zindagi ki shaam ab hone ko hai
umar yeh tamaam ab hone ko hai
manzilain apni juda ho bhi chukeeN
aashiqi nakaam ab hone ko hai
ay mere saaqi zara bhar day isay
khatm mera jaam ab hone ko hai
mitt chalay hain harf sab umeed ke
aakhari ik kaam ab hone ko hai
subh ke bhoolay tu jaldi laut aa
dhal gaya din, shaam ab hone ko hai
shabnami aankhon ka poochna hai yeh
piyar kiyon nilaam ab hone ko hai
qalb ki dharkan to Mehroo rukk gaii
rooh ko aaraam ab hone ko hai
apki aara ka intazar rahay ga/rose
khush rahiye
mehroo
.
.
.
(lala daikh lijiye, intahaai udaas hone ke bawjood main ne aik bhi sad icon nahin banaya) |
/wah kiya kehne hain ap k mehroo ji /wah
kiya likhti ho ap k 'Zindagi ki shaam ab hone ko hai '/wah
sada khush raho mehroo ji
1.gif)
/AH