no tobacco please(main ek kash jab laga raha tha) | | main ek kash jab laga raha tha
dhuaan hawaa mein urha raha tha
tabhi thi koi chingari bhadhki
meri bhi ek dum nigah phadhki
woh hawa mein kushbo urha raha tha
mein ek kash jab laga raha tha
merey dast pey jo uska ek baal aaya
ekbargi yeh khayaal aaya
key woh pari hai ya hai koi ladhki
is baar meri baayin aankh phadhki
kya woh sona uga raha tha?
main ek kash jab laga raha tha
ek pal ko usney jo mujhko yoon dekha
haathoon sey mainey woh angaar pheinka
DDar tha yeh mujhko key chala jaaye na woh
sada ka dukh mujhko de jaayey na woh
kis ki mein khatir dil jala raha tha
main ek kash jab laga raha tha
jo peena tha choorha to paas aayi woh
meri sangni ab kehlai phir woh
ab na mein udaas hoon na hai koi gham
kash le ke yaroon zindigi hoti kam
bekaar mein jaa.n ganwaan raha tha
main ek kash jab laga raha tha.
mudassir(tooba)
doston meri aap sub sey iltija hai ki aap kabhi kash na lagaein ,tambaqoo(tobacco)se y parhez karey gutka supari waghaira na khaein na apney dosto aur azeezon ko in cheezon ka istamaal karney dein thanks.
Last edited by newpoet; 06-04-2005 at 08:03 AM.
Reason: word THA in line two was missed
|