Assalam u alaikum to all !
chalow us nagree ki janib chal partein hain
jaha titliaan aur phool ruks kartein hain
sadayein tau buhat sun chakay hijr-o-firaq ki
chalow ab waha jaha wasal howa kartein hain
baat be baat per roothnay walay tau buhat hain
mananey walay hum jaisay kum howa kartein hain
kissay kahania hi lagti hay ab to yeh tabi
k wafa k badley bawafa log mila kartein hain
wassalaam and talib-e-dua aur wafa
aftab(taabi)