Quote:
|
Originally Posted by kanch ki mehroo salam friends abhi kuch likha..to foran hi share karnay ka dil chaha...
so...ghazal type kuch hai..share kiye daiti hoon1.gif) /hbrk TUM BHOOL GA'AY HO AB SHAYAD /hbrk woh din jo sang guzaray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
jab jagtay chand sitaray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
woh panchi jo hum dono ki chahat ke naghmay gaatay thay
woh panchi kitnay piyaray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
duniya ke ghamon say door kahin, chota sa gharonda bana'ain gay
kuch aisay khuwaab humaray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
tum jaan ho so bardasht kiya, warna to jigar ke paar huwe
kuch aisay lafz tumharay thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
jab ro ro kar mere aagay tum ne daman phailaya tha
aur mere ishq ke maray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad
ab dushman-e-jaaN tum kehtay ho un logon ko ay jan-e-jaaN
jo kal takk jaan say piyaray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad MEHROO ka sath nibhanay ke jo waday jaan tumharay thay
mujhe yaad hain woh jo saray thay, tum bhool ga'ay ho ab shayad /hbrk /hbrk /hbrk /ooho ...bas yehi aik adna c koshish ki hai yoonhi /oopz
aap sab ki tanqeed-o-islaaah ka intazar rahay gaaa
khush rahiye @};-
Mehroo |
Hmmm Mehrooo , ,, buhat buhat acha likha hai janab ..
yonhi lihkti rahoo ,, or haan har shair kay akhir main
ho ab shayad kuch alag sa laag rahai kosish karoo kay shair ko
tum bhool gaiey shayad par khatam kar doo .. ya mayri raiey hai .... zarori nahi u ko sahi lagay ...