Par Chalo, Hum tumhain bewafa nahi kahtay... | | Chalo, Hum tumhain bewafa nahi kahtay
Poray hoon ahad-o-pamaan, asa nahi kahtay
Shikway shikaitain, aur hum, ranjoor thay bohat
Tumharay jism may paltay, aur nasoor thay bohat
Chalo, Hum tumhain bewafa nahi kahtay
Humain kia lyna aab, dariya kis simat hain bahaty
Haan magar ye pyar tumhara majboor tha bohat
Irada tha chataan aur dil, kamzoor tha bohat
Chalo, Hum tumhain bewafa nahi kahtay
Tera akas magar, kyun ye ainay nahi sahtay
Palat K, abkay hum tum say dur hain bohat
Mere nafs bhi hirasan, hum choor hain bohat
Par Chalo, Hum tumhain bewafa nahi kahtay
Jo kah raha hay zamana, hum wo nahi kahtay
Last edited by Shokh; 03-15-2005 at 01:49 PM.
|