ek dukh bhari chand raat | | ek raat ki hai baat aao batata hoon tumhein
us chand raat ki ek daastaan sunata hoon tumhein
main guzar raha tha ek sadak sunsaan sey
tarey bhi jhaank rahey they us raat aasmaan sey
guzra jo main ek qabaristaan key paas sey
aawaaz aa rahi thi kuch us biyaban sey
dekha jo mainey jhaank kar to hairan ho gaya
do bachchon ko wahan dekh kar pasheyman ho gaya
bachey jo they liptey hue ek taaza qabr sey
jab woh kuch keh rahey they to baj rahey they saaz sey
bachey ney kaha aap kya naaraz ho gayey
jo aa key yoon aisi tanhai mein so gayey
ghar pey hain bohot log zikr aap ka hi hai
humko to intizaar bus aap ka hi hai
ghar pey nahin hai chain na maa ko qarar hai
unka to ro ro key bohot bura haal hai
bachcha keh raha tha ghar aa jao papa warna guzar jaeygi yeh raat
aa jaoo jaldi sey tum kyon ki kal eid hai, aaj hai chand raat.
pls try to understand the situation of these childrens.yeh koi nazm nahin hai ek afsoos naak baat hai, yeh nazm mainey pakiza aanchal ki ek nazm sey mutaassir ho kar likhney ki koshish ki hai ,uska theme bhi yahi hai.koi ghalti ho to maaf kar dijiyehga. mudassir ali khan. |