~*~ Teri Yaad Ka Mausam ~*~ | |
~*~ Teri Yaad Ka Mausam ~*~
Meri zaat sai lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
Mein yunhi shaam sai bethi hoon
Teri chahat kai sai mein
Mein yunhi pal pal tujhe sochoon
Mohabbat ki barish mein
Mein yunhi ankhoon mein tujhe basati rahoon
Lamha lamha
Chand jaisa badloon mein samai
Andheri ratoon mein
Meri zaat sai lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
Mein yunhi samnai tere bethi
tujhe dekhti rahoon
Lamha lamha pighalti rahoon
teri nigahoon mein
Mere hathoon mein yunhi hath rahai
tera har dam
Tu mujhe yunhi samaitai rakhai
dil ki panahoon mein
Meri raatain hi nahi subhain bhi
tere naam ki hoon
Dua yehi mangti hoon
dil ki gehraiyoon mein
Meri zaat sai lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
khush rahiyai sab /rose
__________________
Last edited by Diya; 11-03-2004 at 05:36 PM.
|