~**... Zakham Jaloo Aur Gham Sajaoo ...**~
...Humdam, humdard, dost aur saathi, hein behlaway saray...
...Koi kissi ka gham kaya bantay.. sab ko apnaay payaaray...
...Mitwa nahi hai, meet nahi hai, adhooray gham humaray...
...Kiss kay daman mein daloon hain jo man mein taaray...
...Dard tu hai, dil nahi, phir dard e dil sunayain kaya...
...Mat kuraido, rehnay do.. behtay zakham saath humaray...
...Kurhna choro.. kuch tu bolo.. kab tuk guzray gi aisay...
...Mil jae ga yaheen kaheen.. jo dil ke laik sanwaray...
...Kis soch mein gum baithay hoo.. zakham jala aur gham saja...
...Ik aisa jaam pilla saqi phir yaad na koyee mujhay sataye...