Jab bhi khawb puranay koi jawan hona lagata hain
Aawargi lout aati hai wehshaton ke soghaat liyeah
Yeah tu nahi jo baazi khailay hum haar gaaiye
Haan jeet mili aksarhathoon mein maat liyeah
Mein ussay jab bhi milta la'jawab kar daita tha
Iss baar mili magar ajab woh sawalaat liyeah
Nai subaah ke ahat pay sab deep bujha baitha tha...
Yeah alag baat angan mein sehar utray phir raat liyeah..
Joo kuch milla gali kay bachoon mein baant ayee..
Tanhai ghar loutee hai faqat shakasta zaat liyeah.