Amawas raat mein taray Bay'khawb rehtay hain
Jo tum ko jeet kay haray bay'khawb rehtay hain
Jab kacha ghara koi beech majhdar doob jata hai
Darya kay paar kinaray Bay'Khawb rehtay hain
Taiz hawain chalti hain jab sawan ghir kay aata hai
Dar o divar ghar kay humaray Bay'khawb rehtay hain
Mousam e gul mein tu sab meethi need sotay hain
Par kuch kismat kay maray Bay'khwab rehtay hain
Kachi umaroon mein khawb jin kay toot jatay hain
Ban jaatay hain banjaray Bay'khawb rehtay hain