~**...Ik Bay'wafa ke yaad mein...**~
Kissi ajnabi shehar mein hoon
Karee dhoop hai jaoon jidhar
kitnay saye nazar mein hai
viraan magar dil ka nagar
qufaal laga kay baitha hai
koi aye nahi... koi jayee nahi...
janay kis kay soog mein hai..
Woh jo khoo gaya tha.. Ik shaam mein
Woh mah jabeen, woh dil ruba..
woh hum nafas, maira raaz daan
gulaab chehra... baad e saba
choor kay jo challa gaya
Rahoon ko dhool mein choor k..
kissi aur angan jaa basaa
maira bay khabar, woh gul badan
jis nay kaha tha, ik shaam mein
mairay hum nafas - mairay raazdaan
maira jisam ho tum.. mujhay aurh lay..
panaah millay - mujhay thaam lay..
taras raha hoon ... khawb doo..
bikhar na jaoon - samait loo..
Aaj guzray howay uss shaam ko
kitnay baras hain beet gaiye..
par aaj bhi har shaam dhalay..
hazaar chehroon ke bheer mein
Ik shakhas tanha phirta hai..!!
Kissi bay'wafa ke yaad mein..!!