Quote:
|
Originally Posted by Qismat Ka Sataya Salaam azeez doston,
Apni aik na'ee takhleeq k saath haazir ho raha hoon ... Laikin qabl is kay kay aap log meri ghazal perhain, main yeh bata dayna zaroori samajhta hoon k main tehra tifl e maktab to zaahir see baat hai k khaa'miyaan hongi ... Umeed kerta hoon yeh ghazal pasand aa'aygi, aap sab ki aara ka muntazir hoon @};-
Tera dar nahein manzoor jabeen saa’ee kay liay
Ham tayyar khaRay hain panja aazma’ee kay liay
Yeh saaf keh raha hoon dubara nahein kahoonga
Ab kisee aur ko dhoondo bay wafa’ee kay liay
Un kay tarz e intikhaab pay hamko hansi aa’ee
Chunee apni see mehfil hai khudsata’ee kay liay
Kia tazkira unka ho tum khud hi batao naa
Jo aa’datan rakhtay hain door judaee kay liay
Iss aik ghaRee kay liay taa’wun kero mujhse
Muntakhib kerain unwaan nohasara’ee kay liay
Qassim ne jo kehna tha iss ghazal main kehdala
Duniya kee zaroorat kiya pazeera’ee kay liay
Qassim Mirza Ali @};-
Toronto, Canada |
very nice jiii @};- @};- /clap5