It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kaho Inn BoLtee AankhooN Se k khamoosh ho jaiiN...! within the Sonia forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; Kaho inn boltee aankhooN se k khamoosh ho jaiiN mere khawaboon mein akar ye mujhe pal pal na tarpain na ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [8] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Kaho inn boltee aankhooN se k khamoosh ho jaiiN mere khawaboon mein akar ye mujhe pal pal na tarpain na raatoon ko meri ye apnai naam karjain na rooh mein bas kar ye mujhe sairaab kar jain kaho in bolti ankhoon sai mujhe ye yun na satayain meri har aas ai janaan in kai naam bhi ho to meri har khawaish ai janaan in kai sath bhi ho to meri har dharkan par beshak ye apna naam likh jain kaho in bolti ankhoon sai mujhe ye bekhud na kar jain meri har saans har lamha in mein hi basti hai meri har arzoo pal pal in ka naam laiti hai mujhe tanha nahi karteen ye mere sath chalti hain kaho in bolti ankhoon sai ye mujhe zanjeer na kar jain mujhe in bolti ankhoon sai ab to darr bhi lagta hai kabhi dil mera ye chahai in mein doob jaoon mein kabhi na in sai hatt kar kuch bhi soch paoon mein kabhi ye bhi khawaish hai k in ko besab dekhoon kabhi dil ye bhi kehta hai in ko har lamha mein parhoon kabhi dharkan ye kehti hai in mein bas jaoon mein kabhi ye arzoo hai ke ye mujh mein sama jain kaho in bolti ankhoon sai k khamosh ho jain na mujhe ye tarpain na mujhe ye uljhain ye dil janta hai k ye mujhse pyar karti hain duaoon mein manga hai k ye meri ho jain kaho in bolti ankhoon sai k khamosh ho jain…
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| hamari bolti Ye Ankhain kesai khamosh ho jain...! hamari bolti ye ankhain kesai khamosh ho jain ye tumse pyar karti hain tumharai bin ye kho jain hai in ki bhi yehi khawaish kai in mein doob jao tum khud ko bhool jao tum tumhein khud mein samo kai ye kaho kaisai ab so jain hai in ki arzoo ai janaan tumhari muskurahat sai shama jalti rahai in ki tumhari hansi sai jee uthain tumhein khud mein basa ke ye kaho kaisai ab ro jain mein kaisai in sai ye kehdoon ye khamosh ho jain tumhara chehra na dekhain ye tumhein mehsoos na kar payeen tumhara ehsaas na ho ai janaan to ye pathar ki ho jain kaho kaisai in sai ye kehdoon tumse batain na karain ye tumhein panai ki duaoon mein jo raat bhar jali hain tumhein khonai kai darr sai ye lamhoon mein bikhri hain kabhi khawaboon sai kabhi hakeekat sai uljhi hain kaho kaisai in sai ye kehdoon ye khamosh ho jain tumhari arzoo ko chordain bin tumharai ye jee jain tumharai ehsaas sai sunlo sansain in ki chalti hain na kehna in sai ai janaan ye khamosh ho jain tumhein jo kho dain to ye pal bhar mein mar jain tumhein palkoon mein basa kar ye sitarai sai bunti hain tumharai bin ai jana kaho kaisai ye so jain hamari bolti ankhain kaisai khamosh ho jain tumhein panai ki khawaish mein tum par hi mar jain chalo ye bolti ankhain tumse aaj poochti hain kya in bolti ankhoon ko tum kuch na kaho gi ab jo tumhari rah mein janaan janai kab sai bethi hain ye muddat sai pyasi hain tumhein pana ye chahti hain ye ikraar karti hain aaj ikraar chahti hain ! |
|
#3
| |||||
| |||||
| Tumhari bolti Ankhoon Sai Mein ikraar karti hoon~*~ tumhari bolti ankhoon sai mein ikraar karti hoon khud ko aaj ai humdum tumharai naam karti hoon hai khawaish ye tumharai dil mein meri dharkan ko panai ki meri sansain bhi ai janaan tumhein ye pegham daiti hain agar hai arzoo tum ko mujhe jeevan bananai ki mein bhi panai ki tum ko hi duain roz karti hoon tumhari ankhoon mein basti hoon gar mein diya ban kar meri in ankhoon ki bhi shama tumse hi raushan hai meri muskurahat mein chupi hai tumhari muskaan ai janaa tum mujh mein jeetai ho har lamha mein tum mein saans laiti hoon tumhari boolti ankhain mujhe har baat kehti hain mujhe khawaboon mein akar bhi nahi sonai ye daiti hain kabhi chahat kai rangoon mein kabhi khawaish kai jhoolai par ye mere sang hoti hain mein in kai sang chalti hoon meri palkoon par ai janaan sitarai in sai chamkai hain mein sochoon jo in ko to mehak uthti hoon khayaloon mein meri ankhoon mein dekho to tum khud ko hi pao gai mein lamhoon mein mohabbat mein sairaab hoti hoon tumhari bolti ankhain aur In mein rang chahat kai kabhi mujh ko jo sarahain kabhi mujh ko jo choo jain mujhe deewangi ye in ki bekhud sa karti hai mein bikhroon jo in mein to simatti bhi in mein hoon tumhari pyasi ye ankhain mujhse har baat kehti hain mujhe khonai nahi daiteen ye mujhse pyar karti hain tumhari bolti in ankhoon sai aaj ikraar karti hoon mein manzil hoon tumhari mein tum hi se pyar karti hoon! |
|
#5
| |||||
| |||||
3 BOHAT KHOOB DEAR 3
__________________ Signature Removed - Only One Image is Allowed |
|
#6
| |||||
| |||||
AOA, VERY NICE................ ......![]()
__________________ Ye Jantay Huye Bhi K Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga Phir Bhi Main Ne Hawa Ko Pakarna Chaha Badal Ko Choona Chaha |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bohat Hi Khoooooooooooob Bohat Hi Aaaaalllllllaaa
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Bohat Hi Khoooooooooooob Bohat Hi Aaaaalllllllaaa |