woh Dekhai Jo Mujhe Yun...! | | woh dekhai jo kabhi mujhe yun
nazar bhar kar
pighalti hoon mein lamha lamha
shama ban kar
us ki nigahain karti hain batain aisi
simatti hoon mein khud mein
haya ban kar
us ki ankhoon mein hain rang
wafa kai hazaar
us ki rang mein rangi hoon mein
bahar ban kar
woh nazrain kehti hain mujhse
ao khud mein samait loon tumhein
us ki panahoon mein rehna hai ab
zindagi ban kar
un ankhoon mein deep hain
sirf meri chahat kai
us ki chahat mein doobi hoon mein bhi
khushi ban kar
us ki nigahoon kai agai apna aap
haar jati hoon mein
jo dekhai mujhe yun mohabbat sai to
bikhar jaati hoon mein
kehkashaan ban kar
woh dekhai jo kabhi mujhe yun
nazar bhar kar
pighalti hoon mein lamha lamha
shama ban kar |