Us Ki Ankhoon Mein...! | |
us ki ankhoon mein jo dekha
khud ko mein nai
yun laga dil nahi jaan bhi
haari ho mein nai
mujhe chahat kai rangoon sai
sanwara jis nai
mujhe khud sai bhi barh kar
chaha jis nai
mujhe resham kabhi shabnam
jo kehta hai
mujhe ankhoon mein sapnai
ki manind basaya jis nai
mere bikhri hui zaat ko
khud mein samaita jis nai
jazboon ki aanch sai rooh ko
pighlaya jis nai
mujhe khushi kabhi khanak
jo kehta hai
mujhe panahoon mein apni
phool ki manind sambhala jis nai
us ki ankhoon mein jo dekha
khud ko mein nai
yun laga dil nahi jaan bhi
haari ho mein nai |