AiteBaar karo...! | |
Meri ankhoon mein basai ho tum
Ek dua ban kar
Tumhein zindagi bhar yunhi chahoongi
Aitebaar karo
Mere hathoon par likha hai tumhara naam
Chahat kai rangoon nai
isai dharkan mein basaoongi
Aitebaar karo
Meri har soch mein shamil hai khayal tumhara
isai sansoon mein rachaongi
Aitebaar karo
Yun to har pal tum rehtai ho mere hi sath humdum
Tumhein saibaaan mein banaoongi
Aitebaar karo
Hai laboon par mere jo naam tumhara hai
Tumhein apna mein banaoongi
Aitebaar karo
Hain kathin rah-e-wafa janaa to kya hota hai
Dil jala kar mein nibhaoongi
Aitebaar karo
Mujhe tum sai hai mohabbat tumhein khabar hai ye
Mein isai zindagi mein laoongi
Aitebaar karo
tumhara hi chehra basa hai meri in ankhoon mein
Tumhein tabeer banaoongi
Aitebaar karo
tumhein pakar ho jai gi sehal zindagi meri
yehi dua bas mangoongi
aitebaar karo
kabhi khawaboon mein kabhi khayaloon mein
kehti hoon tum sai yehi
mein zindagi tum sang sajaoongi
aitebaar karo .................... ................ |