Re: Kabhi Socha Hai Yeh Tum Nai...! | | Part-2 kabhi socha hai ye tumne
kabhi socha hai ye tumnai
agar aisa nahi hota
agar hum tum na miltai to
baharoon ka kafila nahi hota
kabhi koi rah nahi hoti
yun dil tak anai ki
woh rasta nahi hota
ye ashiyaan nahi hota
kabhi ankhon nai dekhai jo
who sapnai nahi hotai
kabhi palkoon mein simtai jo
ek sitara nahi hota
kabhi aainai mein ai hum dam
yun nazrain nahi milteen
kabhi yun bekhudi mein hi
khud ko bayaan karna nahi hota
mein yunhi raat bhar teri
khayalon mein na rehti sathi
mere andar jo jeeyai har pal
tera woh aks nahi hota |