meray aansuoN mein doobnay sey khud ko bacha naa paao ghay
jub bhi koi samandar dekho ghay mujhe yaad karo ghay
maanga tha ik tujhe hii har pal apnay RAB sey JanaN!
duaa k liye jo haath uthaao ghay to mujhe yaad karo ghay
tumhari an kahi baatoN ko samjh leyti thi ik pal mein
koi baat kissi ko samjhao ghay to mujhe yaad karo ghay
khol deytay thay apnay dil ko bin hich-kichahat k
koi baat kissi sey chupaao ghay to mujhe yaad karo ghay
"bhool chuka hoon ussey,bohat khush hoon uss bin"
yeh baat jub sab sey kaho ghay to mujhe yaad karo ghay
apnay kiye iss faisilay par jub ho ghay tum sharam saar
aur iss par bohat pachhtaao ghay to mujhe yaad karo ghay
pyar karna,pyar paana aur pyar nibhana aasaaN nahin
meray jaisa pyar jub kahin naa paao ghay mujhe yaad karo ghay
uNiQuE sMiLe