kuch bhi tu kaam na aa sakee.n, na riyazatai.n na wazahatai.n
usey jana tha wo chala gaya... bhula k meri mohabbatai.n
main tu dhun main apni magan rahi, wo tu aay aa k chaly gai!
mujhe kuch khabar bhi na ho saki, gaee.n raigaa.n ye musafatai.n
wahan wo khafa yahan main barhum, hain dono mubtala-e ranj-o ghum
ajab dastaa.n shab-o roz ki, humain raas aaee.n na chahatai.n
agar kuch diya tu hij'r diya, bina chahey hum ko juda kiya
merey Rub ki chah ajeeb hai, ajab us ki saari nawazishai.n
merey dost saarey ajeeb hain, ab un ki babat kahoo.n main kiya!
wo tu gaee.n naghmey wafaoo.n k, rakhain dill main laakh kadoratai.n
meri neend sey tu bani nahi, hamesha us sey thani rahi
mujhe raat khwaab na aa sakey, tu hain neend ki ye bhi sazeeshai.n
na-jane us nay kaha tha kiya barey piyaar seymerey kaan main
bas usi lamhey sey hain mehv-e raqs, merey dill ki ley pe sama'atai.n
berey shouq sey karo per qalam k main aik hurf na karoo.n raqam
per meri fik'r ki uraan per kiya laga sako k rukawatai.n
Shagufta tum na samajh sako gi, haan kabhi mizaaj-e hayat ko
yaa.n qadam qadam pe kadoratai.n hain, adawatain hain baghawatai.n
-----------------
Shagufta Basit
April 12th, 2005.