usey ye kehna na ab sametey, merey wojood k kar k tukrey
main lamha lamha bikhar rahi hoon, main lehza lehza bhatak rahi hoon
main chahti thi kabhi tu mera haan aks un main nazar tu ata
bari hi hasrat sey us ki aankhain main apni aankho sey tak rahi hon
agar nahi hai nibah mumkin, tu aao rasta juda hi kar lain
abhi jo aya khayyal is ka, tu sar ko apney jhatak rahi hon
ye terey lehjey ki talkhiyoo ka asar hai janaa.n tumhain pata hai
jo in nigahoo main aay aansoo wo apney haathoo sey dhak rahi hon
ye uski aankhoo ki shokhiyoo ka asar hai shaid Khuda hi janey
jo bin peye hi idher udher main janey kaa.n kaa.n behek rahi hon
Shagufta Basit
Aug, 2005