It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~ within the Qismat Ka Sataya forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; Dosto aik english poem se mutaa'sir hoker aik taazaa nazam kahii hai ... Haazir e khidmat hai ... Nazam thoRii ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() Dosto aik english poem se mutaa'sir hoker aik taazaa nazam kahii hai ... Haazir e khidmat hai ... Nazam thoRii taveel hai bardhaaSht kee jiay ![]() ~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~ fajr ka waqt tha darvaaze pe aayaa koi Kaun aayaa hai yeg saa'il se kiya uss ne savaal lamhaa guzraa tha naheiN kaanoN meN aawaaz paRii Malakaul maut hooN darvaazaa zara khol apna baat yeh sun kay zameeN pairoN se sarkii uss kay thaa paseenay k samandar meN saraapaa Doobaa bas isee haal meN puhnchaa hai woh zaujaa k qareeN uss se kehta hai k mujhko tu bachaalay iss say aur palaTker yeh kahaa rote huvay uss ne phir Malakul maut tujhay waasta Allah ka hai baKhShday jaan merii lauT jaa Maalik k paas mere bachche, merii biiwii ko saNmbhaalega kaun? bas maiN ik aur hee mauqe ka talabgaar hooN ab Malakul maut ne phir se hai kiya dak.ul.baab uss pareeshaan se bande ko woh samjhaane lagaa jism meN rooh jo tere hai yeh paa'ii jaatii hai amaanat tere Allah ki mat bhoolna yeh apni marzii se fariShtaa naheiN jaataa dar dar marzii-e.Rab se tere dar peh meN aayaa hooN aaj Yeh khabar sun kay bohot dair thaa royaa woh ShaKhs rote rote woh bayaaN kernay lagaa dil kii baat Malakul maut mujhay maut se Dar lagtaa hai maiN teri gaud meN dunyaa k khazaane rakh dooN aaj se teri GHulaamii meN jeeooNga maiN to dhool qadmoN ki tere dhokay peeooNga maiN to uss fariShtay ne muhabbat se phir ik baar kaha waqt hai ab bhii k andar tu mujhay aane day dekh kehta hooN jo andar naheiN aane dayga toRker ghar ka yeh darvaazaa chalaa aaooNga ghar meN aate hee fariShte ne yeh manzar dekha haath meN pakRe woh bandooq khaRaa hai buzdil kaaNmte haath se bandooq fariShte ki taraf ker k kehta thaa qareeN mere naheiN aanaa tu uss kii naadaani peh yeh hans k fariShtaa bolaa tu samajhta hai k dhamkii se Daraa dayga mujhay? aslahaa kaam fariShton meN naheiN kerta hai saamne rab jhukaa'ayga agar apna sar rooh aaraam se phir tan se nikal paa'aygii mujhko batlaa k tujhay khauf hai kiss baat ka ab apne Maalik ki taraf lauTkay jaataa hai tu aay fariShte tujhay batlaata hooN kyuN Dartaa hooN SHarm aatee hai mujhay kehte huvay tujhse yeh naam Allah ka ik baar bhii lay paaya naheiN subh se shaam talak maiN ne kamaa'ii daulat tandurustii ka bhi hargiz na rakhaa maiN ne khayaal maiN Khudawand k ehkaam se bhii door raha zandgii bhar meN kabhii bhi na paRii maiN ne Namaaz Maah-e Ramzaan meN roze na rakhe maiN ne kabhii log "Al Haaj" pukaaraiN yeh tamanna thi magar thaa junooN aur bhii paisa hai kamaanaa mujhko waastaa tujhko Khudaa ka hai dua sunlay merii saal do saal mujhay aur tu jeelaynay day paak QuraaN ki tilaavat maiN shuruu kerdooNga aik hee baar sahii Haj bhi kerooNga pooraa roze mujhper jo haiN vaajib woh rakhooNga poore maiN ghareeboN meN taqseem kerooNga daulat aaj se khums nikaalooNga yeh waadaa hai mera Malakul maut ne yeh arz sunii phir yeh kahaa maut her aik kii qismat meN likhii hai aasii chaahe woh baap ho, maader ho ke bayTaa bayTii maiN samajh sakta hooN kiss baat se Dartaa hai tu faa'idaa aansoo bahaane se naheiN koi bhi ab tu jeeaa hai to faQat paisa kamaane k liay aik se aik mehel apna banaabe k liay tu ne maaN baap ki izzat bhi kabhii kee hee naheiN naa kabhii tu ne ghareeboN ko khilaayaa khaanaa baawajood iss k musalmaan banaataa sab ko teri aulaad he iss deen k qaabil na rahii tu ne Quraan sajaavaT k liay ghar meN rakhaa umr bhar jhooT hee ka layka sahaaraa tu jiaa Malakul maut mera aaKhrii tujhse hai savaal kya musalmaan har ik jaata hai jannat meN bataa? hHans kay bola k tera daaKhila jannat meN naheiN vaaste tere jhannum k haiN darvaaze khulay zindagii bhar ki tujhay dee thi khuda ne mohlat waqt ab lauTkay jaane ka tere aayaa hai aik dam roke jo bister se uThaa woh banda jism meN zuaf sa mehsoos kiya uss ne aur ho kay be.jaan zameeN peh woh giraa muNh k bal ... Qassim Mirza Ali :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| Very Nice Very Gooooooooood Good Jooooooob |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| aakhrii, guftagoo |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| ~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~ | :Qassim: | Urdu Poet Club | 13 | 09-20-2006 12:03 PM |