Tujhay qasam hai uss ghareeb ko tu bhoolna naheiN! | | Khudaa ka shukr hai maiN iShq meN hooN mubtilaa naheiN
yeh marZ aisaa hai k jiss kii koi bhii davaa naheiN
Khayaal k ufak ka aaftaab Doobtaa naheiN
mujhay woh hans k dekhnaa teraa jo bhooltaa naheiN
haiN manzilaiN alag alag haiN raaste alag alag
safar meN zindagii k yuN milaap ho sakaa naheiN
sahaara jiss ne muShkiloN meN tujhko apna hai diya
tujhay Qasam hai uss Ghareeb ko tu bhoolnaa naheiN
najaane kaunsii Sharaab uss k maikade meN hai
jo aik baar waaN gaya to phir woh lauTtaa naheiN
nigaah kii zabaan se yahaaN peh boltay haiN sab
to kya huvaa kisii ne muNh se kuch agar kahaa naheiN
daleel yeh a'mal hai ussko ab bhi mujhse pyaar hai
gunaahgaar tha magar woh day sakaa sazaa naheiN
chalo yeh maan bhii liyaa k dil meraa hai sang dil
magar yeh sach bhi jaanlo k dil ka maiN buraa naheiN
har aik saans boltii hai teri :Qassim: e hazeeN
meraa Hussain k sivaa hai koi aasraa naheiN |