jay rabb nahatiyaan dhotiyaan milda
milda dadauaan machiyaan
jay rab milda moon munaaiyaan
milda bhaidaan sasiyaan
jay rab jatiyaan satiyaan milda
mildaa dandaa'n hasiyaan
RAB OHNAA NUU MILDA BAAHU
NEETAA'N JINAA'N DIYAAN ACHIYAAN
nahatiyaan dhotiyaan = naha dho k dadauaan machiyaan = maindak ( frog ) and machli (fish) moon munaaiyaan = means baal katvaana bhaidaan sasiyaan = bhair (sheep) the one who's wool is removed first time jatti = jo khuwab main bhi aurat k baary main na sochy satti = jo begaani cheez ko na dekhy daand = tagga > bael > bull hassi = castrated animal NEETAA'N = neeyat
sufi section main yeh humara pehla thread hoga main ne aghaaz kiya HAZRAT SAHHI SULTAAN BAAHO K KALAM SE JIN KA AAP KO PATA HE k bohet hi kaamil buzurg aur HAZOOR S.A.W ke Aashiq guzray hian iss kalam main uno ne yeh samjhya k agar rabb milta un ko jo har waqt nahaay dhoay rehty hain to maindak ya machli waghira ko milta agar rab un ko milta jo baal katvaaty hian iss main un k ishara hinduism ki tarf he jahan tind karaany k rivaaj he to hazart kehty hain k agar uss situation main rab milta to milta un sheeps ko jin k wool first time remove kee jaati he teesri line main hazrat kehty hain k agar rab milta jatiyaan satiyaan maslan woh insaan who has no desires for opposit gender to milta castrated animals ko. 4th line main hazart baat ko samit'tay hain aur kehty hain k rab sirf un ko milta he jin ki neeyat paak saaf ho jesa k QURAAN MAJEED MAIN BHI HE INA'MAL AMAALO BIN NIYAAT'EE K YAQEENAN AMLO KA DARO-MADAAR NEEYAT PE HE to iss sari baat ka matleb yeh he k insaan ko apni neeyat saaf rakhni chaaiy aur kissi k baary main bhi bura nahi sochna chaiy agar ho jaay to touba kara lain ALLAH HUM SAB KO HIDAAYAT DEY FE AMAAN ALLAH i explained in briefely