Re: Bulleh Nu Samjhawan Aayan | | APNI JANNAT’ APNI DOZAKH”
Zidagi iss kader qeemati hay k Iss ke qeemat ko jananay k liyea sahi rah’numae ke zaroorat hoti hay aur phir is rah’numae par amal bhi zaroori hay.Amal he insaan ke bottle main lateef yaa kaseef Roshnian jamah karta hay.Asmani kitaboon main waziah tour par iss baat ke nishan’dehi kar de gayi hay.
Hazoor-e-Pak SAW ke Ahadith bhi hamaray liyea mash’alay rah hain.
Aik hadith k mutabik Aap SAW nay farmaya
“ Jab koi mo’amin teesra kalma padhta hay tou jannat main uss k liyea aik darakht laga diya jata hay”
Is hadith shareef say yea baat saabit hoti hay k banday ka har amal aik soorat rakhta hay khwah yea soorat iss duniya main dekhae day naa day mager akhirat main wo inhay dekhay ga aur apnay amaal-o-af’aal k hawalay say inhay pehchan lay ga.
Amal acha hoga tou jannat main koi naa koi shay hasil ho jaye ge aur ager amal bura ho ga tou Douzakh main koi naa koi shay hasil hoge.
Insaan Apni jannat aur apni douzakh har wakt saath liyea phirta hay.
Zindage ka har dour naye takazay lay kar aata hay in takazoo ke bunyad bi ilm par hay.
Buchpan, jawani, Budhapay main ilm he is dour ka shaoor banta hay aur issi munasibat say taqazay bhi Ubhartay hain.Mager har dour main mustaqbil ka khayal Admi ko anay walay waqt k saath munsalik rakhta hay ta k anay walay waqt main Apnay aap ko fit karnay k liyea Ahtiyaati tadabeer kar lijayean.
Ladhkpan k tanay baanay par jawani k naqoosh ubhartay hai. Jawani k tanay baanay par budhapay k naqsh-o-Nigaar bantay hain aur phir Budhapa aik naye Mustaqbil ki nishan’dehi karta hay.Nea mustaqbil, Nea Alim, Nea Doour Mout ke dehleez k us paar hay.
“Zindage aur Mout goya Roh k do libaas hain.Zindage ka libaas pehan kar Rouh duniyawi zindage ka lutf uthati hay. Aur mout ka libaas pehan kar gheb k Aalim main moujoodge ka lutf uthaye ge.Jis tarha Admi aik libaas pehan kar doosra libaas pehanta hay. Rouh bhi zindage ka libaas utaar kar mout ka libaas pehanti hay mager koi zee’aql sar-e-baazar kapday nahi badalta. Iss kaam k liyea mouzoo jagah talaash ke jati hay jo libaas badalnay ke tayari hay aur issi tarha mout ke tayari bhi zaroori hay”
Is tayaari k liyea insaan ko apni salahiatoon ko ziada say ziada waseeh pemanay main lana chahiyea. Aadmi iss salahiyat ko ziada say ziada wos’at de sakta hay jis say pehlay he waqif ho. Mas’alan ager koi Artist hay tou wo zaida say ziada tasweerain bana kar iss line main naam peda kar sakta haymager yaad rakho jiss kaam main Allah SWT k liyea niyat ki jayea Wos’at ussi ko hasil hoti hay. Nafsaani aur duniyawi Aghraz say kiya gaya kaam Mehdoodiyat main qaid ho jata hay.
Fitrat ka har kaam wos’at he hay. Barfbaari, Bearish, Hawa, Sabza, Asmaan, Zameen gharz’yea’k har wo shay jis main fitrat ka bara’heraast amal dakhl hay un ka muzahira ijtama’eyat main hota hay. Chand Suraj ke roshni bhi saray jahan ko munawar karti hay jo shay bhi fitrat k Iraday par kaam karti hay Wo makhlooq ko ijtema’e tour par faedah deti hay.
JazaakAllah
Regards,
DARVASH. |