Re: Meri Tahreer Ki Zad Mein Abhi Tou Kuch Nahin Aaya | |
Ek ik lamha ...........dil peh bhari hay
Sham hay......... aur bay qarari hay
Hijr main.......... ek pal nahin kat'ta
Kis tarah ...........zindagi guzari hay
Bay yaqeeni ki...... ik saleeb peh dil
Jeet kar bhi........ yeh jung hari hay
Kis tarah ....jagmaga rahi hay nazar
Yeh mohabbat ki ....meena kari hay
Door hud e nazar talak... ik khawab
Chandni ka ..............tilsm jari hay
Phailti hay chaman main us ki hansi
Mausam e nau ki ..........abyari hay
Ashk, lafzoon say mo'atabar thihray
Khamshi, aansoo'oon peh bhari hay
Ho ga'ay ba shu'oor .waqt kay sath
Ab tamanna bhi ........ikhtiyari hay
A Khuda! ..ek khawab ka marham
Aankh per .zakhm e yad, kari hay |