ballo ji aap nay dekha hi ho ga ye request thread naya hai ab request karnay kay liye koi rule nahin siwaye is kay , kay aik request tayar honay tak wohi member koi dusari request na karay bassss
aap nay konsa shair design karwana hai likh dain yahan
aur agar kisi khas designer say karwana hai tou us ka naam bhi likh dain, zaroor tayar ho jaye ga
baqi about roman
tou ab kafi log roman main bhi likhtay hain aap ki khuwahish kay aehtram main ,
but agar lambi nazm ya gahazl ho tou kabhi itna waqt nahin bhi hota kay roman main bhi likha ja saky
wesay main sab designer say request karti hun kay plz agar ho saky tou roman main bhi likh diya karain takay ballo ji bhi parh sakain
aur sab say khass baat
malika aaliya bhi kaha aur likha kay
aap nay arz kiya tha
janab hum arz nahin kartay
fermatay hain
