
dil ko gham e hayat gawara hai in dino
pehlay jo dard tha wohi chara hai in dino
ye dil zara sa teri yadon main kho gaya
zarray ko aandhiyun ka shara hai in dino
tum aa sako tou shab ko barha doon kuchh aur bhi
apnay kahay main subha ka tara hai in dino