It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Tum mujhe apna muntazir paao gi... within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon Tumse kitni mohabbat karta hoon To usi din ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon Tumse kitni mohabbat karta hoon To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab tumhain aisa lage ke koi tumhare sang nahi hai koi tumhara hamdam nahi hai To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab tumhain zindagi dushwar lage Jab koi umeed na koi aas ho koi bhe na tumhare pass ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Agar kabhi yadein bohat dukh de Tanhai ka ehsas bohat satae To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab you lage tumhain ke Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti Mazeed is aag main nahi jal sakti To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab har saans boojh lagne lage Tum andar hi andar tootne lago To ausi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Na mile panah kisi key banhoon main Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage Ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko Yah phir koi tumhain tukra de To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Aankhoon main ajay agar ashk tumhari Aur koi shaks pouchne wala na ho koi ghum bant ne wala na ho To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Koi tord de agar dil tumhara Ho agar na koi muqabil tumhara Tanhai ka ehsas bohat sataee To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Yeh to dukh deti hain sada Tumhain bhe yadein sataye jab Mehfil main bhe khud ko tanha paoo To us din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Yeh mera wada raha tumse Jo kuch bhe main ne kaha tumse Yeh sab na bhool paoo gi Tum mujhe sada, sada apna muntazir paoo gi
__________________ Meri Taqdeer Ko Badal Dain Gay Meray Pukhta Iraday Meri Kismat Nahin Mohtaaj Meri Haath Ki Lakiroon Ki... |
|
#2
| |||||
| |||||
| kash koi rishtay'dari hoti tujh say youn koi tu nisbat hoti mujh say woh chiraag jo teray saath roshan thay woh chiraag gaye hain bujh bujh say kash koi rishtay'dari hoti tujh say youn koi tu nisbat hoti mujh say youn kisi takreeb main kabhi mil tu jatay youn dil kay alam kabhi khil tu jatay kash koi rishtay'dari hoti tujh say youn koi tu nisbat hoti mujh say youn gareeban-e-saher teray jahaan main rehtay youn bay'sarfa Arman teray dehaan main tu rehtay |
|
#3
| |||||
| |||||
| kis rut main hum bichray thay kahaan lahoo say unwaan likha tha hijar main itni bari awargi umer sari saza ho gaye aaj rotay hain sisak sisak kar luti kahabaan-e-zeest per hum bais-e-madamat thay ya us ki wafa wajaah ho gaye itni taiz andhi main chahat ka nakaab bhi na reh saka aik lehza ki ulfat kay badlay yeh zindagi kia say kia ho gaye bara hi nazuk hai yaaro manzar dhalay suraj ka aik sahara salooni shaam soo woh bhi hum say khafa ho gaye aaj milay jo sir-e-dehleez tu baray hi rangeen thay haan! hamaray lahoo ki surkhi un kay haathon ki hina ho gaye |
|
#4
| |||||
| |||||
| sard mosam ki dhali raat thi shayad ho gaye koi talkh baat thi main uthoon magar woh mujhay na choray woh ansoo bhaye meray samnay haath joray main kahoon mujhay is zangeer main na jakar main is laik nahin meray pair na pakar main kahoon is tamana ko anjaam na day meray pair na choom mujhay yeh makaam na day teri yeh adda mera jeena mahaal kar day gi teri yeh adda mujhay haal say bay'haal kar day gi phir dil main liay huay koi ass woh bethi rahi meray kadmoo kay pass woh addain phir apna kaam dikha gayeen meray jazboon ko jali hui laash bana gayeen youn banaya us nay mujhay pyaar ka nishana phir gaya woh waqat gaya woh zamana main ho gaya ajnabee woh ho gaya bay'gana mehal us ki manzil dar'badri mera thikana phir bhayja hum nay us ko akhri paygaam na karain gay tujhay yaad see lain gay zabaan waqat nay machaya phir aisa hangaam woh ho gaya qayaas main ho gaya gumaan us kay khat phaar kar apnay zakhan nooch kar phir chalay hum wahaan say yeh sooch kar apni hasratain woh pori kar gaya hai aaj teray liay woh mar gaya hai aaj... |
|
#5

![]() |
| Tags |
| tum, mujhe, apna, muntazir, paao |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| na Gubaar me.n na gulab me.n mujhe dekhanaa | sweet person | Ghazal | 9 | 04-23-2008 10:29 PM |
| na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa | Aisha Baig | Ada Jafri | 0 | 03-15-2008 04:05 PM |
| rokataa hai Gam-e-izhaar se pindaar mujhe | Aisha Baig | Mustafa Zaidi | 0 | 03-14-2008 02:02 PM |
| kyaa sarokaar ab kisii se mujhe | Banjara | Zia Jalandhri | 0 | 03-11-2008 08:55 PM |
| apna bana lo mujhe !!!! | bm25_2004 | Ghazal | 12 | 01-10-2008 04:54 AM |