It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Rooh ko serd likhtay raho within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Rooh ko serd likhtay raho Shaairon dard likhtay raho Aansoo'N ko sitara likho Khawaab ko ikk ishara liko Ishq main ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Rooh ko serd likhtay raho Shaairon dard likhtay raho Aansoo'N ko sitara likho Khawaab ko ikk ishara liko Ishq main sab gawara likho Dil kee qismat khassara likho Ratt Jagay Ista'ara likho Waqt kaisay guzara likho Raat ko bay-sahara likho Kis ne kis ko pukara likho Chaand hai zerd likhtay raho Shaairon dard likhtay raho Soch ko shabnami likh diya Dhoop ko chandni likh diya Aah ko shairi likh diya Saans ko zindagi likh diya Zabt ko bay-bassi likh diya Rabt ko ajnabi likh diya Piyaar ko dosti likh diya Baat ko ser-serri likh diya Dil pe hai gerd likhtay raho Shaairon dard likhtay raho Tum likho jeenay walooN ka ghamm Zakhm-i-dil seenay waloon ka ghamm Ya k ghamm peenay walooN ka ghamm Ya likho jalnay waloon ka ghamm Aag per chalnay waloon ka ghamm Shaam ko dhalnay waloon ka ghamm Bay wajah ronay waloon ka ghamm Khawahishain bonay waloon ka ghamm Haath hain serd likhtay raho Rangg hai zerd likhtay raho baal hain gerd likhtay raho Shaairon Dard Likhtay Raho |
|
#2
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#3
| |||||
| |||||
| buhut achy ------------ |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
chay gay ustaad ji main akhya ji SPECTECULAR ZABARDAST JI
__________________ |