It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here![]() |
Register Now! |
|
| ||||||||
| Notices |
| Nazam Ye Bazm urdu community members kay khobsurat aur umdah NazmouN kay intekhabat se sajai gai hay jis main app urdu k mashoor aur maroof shuara kay kalam na sirf parh sakte hain balke app bhi apne khobsurat ghazloon k intekhabat dosre members k sath share kar sakte hain. Find here the Huge collection of Urdu Nazms, all time best Nazms from all time best poets, share your most favorite Nazms of your most favorite poets. |
![]() |
| | LinkBack | Thread Tools |
|
#1
| ||||
| ||||
![]() April 2008 ke Nazam Contest ki Polling ke saath hazir hon. Aap ko jo Nazam pasand aai ussay vote karain. Aik member sirf aik hi vote kar sakta hai. Apni hi poetry ko dia janay wala vote count Nahi ho ga. Vote karnay ki aakhiry taarikh 27th April 2008 hai. 2 Mery dost Asey they jinhon ney nazam ki jaga Gazal ki Sharing karde tu un Doston ka inthab as main shamil nahi hey ![]() ![]() ____________________ ________________ ( 1 ) koi chhao'n ho, jisey chao'n kehne main dopeher ka guma'n na ho Koi shaam ho, Jisey shaam kehne main shab ka koi nisha'n na ho Koi visl ho, Jisey visl kehney main hijar rut ka dhuwa'n na ho Koi lafz ho, Jisey likhney parhney ki chah main Kabhi aik lamha gira'n na ho Ye kahan hua hai k hum tumhain Kabhi apne dil sey pukarny ki sa'i karein Wahi'n AARZOO bey amaa'n na ho Wahi'n mossam ghum-e-jaa'n na ho... 2 Koi to hota Jo mujh ko dil ka karar kehta Ragoo ka apni fishar kehta Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta Koi to hota Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay Koi to hota Main jis kay itna qareeb hota Na paas koi raqeeb hota Main tanha uss ka habbib hota Yeh silsila bhi ajeeb hota Koi to hota KÄħH Koi to hota ( 3 ) kis say poochoon woh kiya shakhs hay jo meri aarzoo kay jharokoN mai thehray huway saaray chehroN mai bikhra huwa hay magar khud abhi apnay chehray mai utra nahi kis say poochoon woh kiya naam hay jo meri dharrkanoN kay muqaddar mai marqoom hay aur woh kiya ajnabi hay jo sadyon say meray khayaalon kay qaryai mai abaad hay magar mera surat-shanasa nahi kis ki awaaz hai jo meri rooh mai naghma-parvaaz hay kon batlaaey ga uss nagar ka patta jis ki matti ki khusbu meray jism ke waastay darj hay jis kay deevar-o-dar meri bay-khuwaab aankhon say maanoos hain aur jis ko kabhi mai nay daikha nahi. naarsaaee meri, naarsaaree meri jiss ko paaya na tha uss ko khonay ka gham meri khuwahish kay seenay ka naasoor hay kis ko awaaz doon, kis ka maatam karoon! woh abhi apnay chehray mai utra nahi kis say poochoon mera muddua kon hay naarsa kon hay (4) AaRzO k kAnWaL kHiLaY hE nA tHaY fARz kAR Lo k hUm MiLaY hE nA thAy kiSi pEhChaN ki nAzAr sE yAhAN aSaL cHEhRaY kAhAn gUzARtAY hAiN ziNdAgi mAin tAmAm cHeEzO'n kO hUm fAqAt fArz hE tAu kArtAy hAiN *~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~* (5) Kuch tu bolo k ye khamoshi ka jado totay u he chup chaap solagnay se bhe kia hota hai kuch na kehnay se tu dukh aur sawa hota hai kia satati hain bohat aaj kise ki yadain phool kalioun ki tarha khushbo main mehki yadain ghoomta hai kia nigahon main kise ka chehra yaad aata hai kise zulf ka zalim pehra neend main dobi hoe aankhain satati hain kia rukh pe bikhri hoe zulfon ki hawa aati hai kaan main kia kise paazaib ki dhon goonjti hai kehnay ki AARZO na kehnay ka dukh cheerta hai kuch tu bolo k ye khamoshi ka jado totay kia kise khawaab numa shaks se mil aaey ho k jo hansta hai tu jharno k tarannum ki tarha aabsharon k taasalsul ka guman hota hai jis k masgaan ki faselon pe diye jaltay hain bool uthta hai tu lagta hai peghalti hoe barf jaisay dariyaoun k pani main utar jati hai dekh kar es lab-o-laalen k chalaktay hoe jaam dagmaga jatay hain kia zabt-e-musalsal k qadam kuch tu bolo k ye khamoshi ka jado totay kia kise shaks se peman-e-wafa kar bethay rehan rakh aaey ho sub khawaab uski khatir apnay jazbay es shaks ko de aaey ho muskorahat bhe,muhabbat bhe,wafa bhe uski jisko hasti ka her ek rang ata kar bethay jhoomti,gaati,barast i hoe sawan rut main kia us shaks ne peman-e-wafa toor diya apni yadon se ulajhnay k liye choor diya kuch tu bolo k ye khamoshi ka jado totay tum na bolo gay tu bolain ge tumhari aankhain nargise neend main dobi hoe kaali aankhain (6) yeh kaisa khayal hay taqdeer ki baynaam bazi ka keh jo haaray, so haaray hain magar jo jeet jaatay hain unhain bhi ik nayee uljhan ki daldal gehair laiti hay kai ik mushkil kay baad ik aur mushkil gehair laiti hay samajhnay kay liyai aayain, chalaiN ham farz kartay hain kisi lamhey kisi ik shakhs ko paana hamari zindagi say bhi ziyada besh-qeemat tha ham uss ki aarzo mai saari dunya bhool baithay thay bas ussi ka naam laitay thay, ussi ko yaad kartay thay ussi ki dhun mai jeetay thay ussi kay gham mai martay thay to phir kuch yuN huwa ikk roz uss ko paa liya ham nay ussay rangoN ki doli mai bitha kar ghar mai lay aaey tassavur ki har ik khusbu gul-e-manzar mai lay aaey kahani aagay chalti hay to hota iss tarah hai - zindagi kay kaar-khanay main dino kay aanay jaanay main jahan kai an-ginat kaamon ka chakkar chalnay lagta hay badan thakta hay aankhain dair tak baydaar rehnay say sulagti haiN zubaan ik taajiraana aur musalsal jhoot ki takraar say uktaanay lagti hay magar majbur hoti hay keh dunia ka dabao uss ko ruknay hi nahi daita koi bay-kaar sa qissa woh phir dohraanay lagti hay thakan aur neend ki milti haddon main, sard bistar per sehar say raat tak ki bay-nateeja guftugu yaad aanay lagti hay to uss lamhe woh umron ki rayaazat ka samar, woh gohar-e-yakta ussi shiknon bharay bistar kay ik hissay mai hota hay magar mehsoos hota hay keh jaisay woh hazaroN meel ki dori pe rehta hay issi doori kay sehra mai kaee raataiN bikharti haiN kaee din faout hotay hain to phir ik din kisi baynaam say ehsaas ki aahaT hamaray hast ki khaali gali mai goonjti hay aur hamay baydaar karti hay, bataati hay keh ham jis ghar mai rehtay haiN wahan kuch khoobsurat khuwaab bhi abaad hotay thay chalaiN ham farz kartay haiN yeh sab kuch ik kahani hay, magar kitni purani hay (7) Kia Likhon...!!! Aaj likhnay ko kuch nahi meray paas lut gaye aakhri Aarzoo bhi Bund hoi ub mohabbat ki talaash dil toota....rooh tarapti hai kiss ko pukaroon...??? kis ko mai dun Awaaz....??? kari kari toot rahi hai zanjeer-e-Saans....!!! (8) SHAIRY SATCH BOLTI HAI Lakh pardo'n mai rahoo'n bhaid merey kholti hai Shairy satch bolti hai Maine dekha hai k jab meri zuba'n dolti hai Shairy satch bolti hai Terra israr k chahat meri baitab na ho Waqif iss gham se mera halqa e ahbab na ho Tu mujhey zabt k sehrao'n mai kyu'n dolti hai Shairy satch bolti hai AARZOO hai k chup chup k tujhey pyar karoo'n Garr koi putch hi baithhey to mai inkar karoo'n Jab kisi baat ko dunya ki nazar taulti hai Shairy satch bolti hai Mai ne iss fiqr mai katee'n kai raatain kai dinn Merey shairo'n pe tera naam na aaye lekin Jab teri sans meri sans mai rass gholti hai Shairy satch bolti hai Terey jalvo'n ka hai par-taue meri aik aik ghazal Tu merey jism ka saya hai to katra k na chal Parda daari to khud apna hee bharam kholti hai Shairy satch bolti hai (9) meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay yoohi chaahay mujh ko taamam umar na shikaitain na gila karay meri chahtain, meri khwahishain, meri zindagi hai teraay liye meri rub say yehi dua hai bus..tujhay koi na mujh say juda karay meray khwaab meray ye rut jagay meri neend bhi hai teray liye meri zindagi jo bachi hai ab; teray naam is ko khuda karay mujhay zindagi say gila nahi mujay tujh say bus yehi a’as hai mai bhi chahoo’n tujh ko sada yoohi tu wafa karay ya jafa karay ye woh fa’aslay hain meray sanam jinhay koi bhi na mita saka ye to feslay hain naseeb kay inhay kasay koi mita karay meri zindagi mai khizaan hai bus na bahar kabhi asaki yehi ashq mera naseeb hain koi gul khushi ka khila karay (10) Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi ta'aluq toot jaye jab mohabbat rooth jaye jab to phir rasm-e-dua kaisi milan ki ilteja kaisi bhanwar mein dholti kashtii pe saahil ki tamanna kya ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya jo manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai tumhein kyun shairii mein aaj takk aabaad rakha hai abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai judaii dene wale aashnaii ki qasam ko tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko mujhe itna bata dena wafa ki chahton ki mash'alein kaise bhujate hain nishaan kaise mitaate hain bhulana ho jinhein unn ko bhala kaise bhulatay hain ... !! Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN![]() magar ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() hay kay jab qaza![]() mujhay bazm-e-dehr say lay chalay![]() to phir aik baar ye izn day![]() kay lehad say laut kay aa sakooN![]() teray dar pay aa kay sada karooN![]() tujhay gumgusar ki ho talab ![]() to teray huzoor maiN aa rahooN![]() ye na ho to soo-e-adum maiN ![]() phir aik baar rawana hooN![]() 12 Ek beqarari main doob ker Ek masti main jhoom ker Mohabbat ne apna Izhaar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil say chaha! Khuwaab bane "Arzoo" ki tarhan Umeed bani Zindgi ki tarhan Her Ehsaas ne Iqraar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! Atebaar ka haath thaam ker Yaadon ko hamraah le ker Is Masoom ne be-ikhtiyaar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! Ek khoobsurat Etminaan ki tarhan Tum hue hamari DUA ki tarhan Hum ne tumhain Toot ker chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! ***************OH*** *********** 13 14 Zindagi say darrtay ho... Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hai'n... Aadmi say darrtay ho.. Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hai'n.. Aadmi zubaa'n bhi hay, aadmi bayaa'n bhi hay.. Is say tum nahee'n darrtay.. Harf aur ma'ani k rishhta haa-e-aahan say.. Aadmi hay waabasta.. Us say tum nahee'n darrtay.. "An-kahi" say darrtay ho.. Jo abhi nahee'n aaii us gharri say darrtay ho.. Us gharri ki aamad ki aa-gahi say darrtay ho.. Pehlay bhi to guzray hai'n... Daur na-rasaaii k, Bay-riya khudaaii k.. Phir bhi yeh samajhtay ho, hoge AARZOO mandi.. Yeh shab-e-zubaa'n bandi, hay raah-e-khuda-wandi.. Tum mager yeh kya jaano.. Lab ager nahee'n hiltay.. Haath jaag uth'tay hain.. Haath jaag uth'tay hain raah ka nishaa'n ban ker.. Noor ki zubaa'n ban ker.. Haath bol uth'tay hain subha ki azaa'n ban ker.. aushni say darrtay ho.. Shay'her ki faseelo'n may.. Deyo ka jo saaya tha, paak ho gaya aakhir... Raat ka libaada bhi... Chaak ho gaya aakhir, khaak ho gaya aakhir... Azdahaam-e-insaa'n say fardi nawa aaii... Zaat ki sadaa aaii... Raah-e-shauq may jaisay rah-ro ka khoon lapkay... Ik naya junoo'n lapkay... Aadmi chhalak utthay... Aadmi ha'nsay daikho, shay'her phir basay daikho... Tum abhi say darrtay ho...!!! 15 Yeh jo reg-e-dasht-e-firaaq hai Yeh ruke aggar Yeh ruke aggar toh pata chale K jo fasloon ki saleeb hai Woh garhi hoi ha kahan kahan Mere aasman se kidhar gayi Teri iltifaat ko woh kehkashaan Mere be-khabar mere be-nishaan Yeh ruke aggar toh pata chale Main tha kis nagar Tu raha kahan K zamm-o-makaan ki woosaatein Tujhe dekhne ko taras gayein Woh tere naseeb ki barishein Kisi aur chat pe baras gayein Iss reg-e-dasht-e-firaak main Rahe muntazir tere muntazir Rahi mere haal se be-khabar Teri rah guzar Tere ARZOO k hain be-karaan Meri zindagi k hain mukhtasir Yeh ruke aggar toh nishaan mile 16 ye kia baynaam uljhun hai na janay aagha'i aur khawab k mabeen kaisa masla hai k her takhleeq say pehlay ajab ik khoof dil ko ghair layta hai mujhay mehsoos hota hai mae apni akhri tehreer likhnay ja rahi hoon sukhun ki shab k mathay per wo meray naam k jitnay sitaray thay wafa k istaa'ray thay sub apni umer pori kr chukay hain yehi dharka sa rehta hai k jitnay shair likhay thay jinhien mae apnay honay ki gawahi ki terha mehsoos kerti thi ye ab na likhay jaien gay ye ab na soochay jaien gay mri nazmien jo ab tak ARZOON ka sunhairA AKus bun ker jhilmilati thien mohabbat ki zaminoon per utertay hijer k aur wisl k sub mosamoon ki baat kerti thien unhien tehreer kernay ka hunar bhi bhool jaon gi gumaan ye bay'sabati ka yaqeen bun bun k her lamha badi shiddat say meray zehan ka damun hilata hai yehi bawer kerwata hai k herf o lafz ka jitna aasasa tha fana ki serhadoon per hai sukhun sachaii ka sara tafakher tootnay ko hai mohabbat roothnay ko hai ye kia bynaam uljhun hai k her takhleeq say pehlay ajub ik khoof dil ko ghair layta hai mujhay mehsoos hota hai mae apni akhri tehreer likhnay jaa rahi hoon!!!! NooShi GiLLani 17 Kabhii kabhii merey dil me Khayaal aataa hai Ke! zindagii teri zulfon ke narm chaaon me guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii...!!!! ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai terii nazar ki shu’aaon me kho bhi sakti thii...!!!! Ajab na thaa ! ke main begaana-e-alam ho kar terii jamaal ki ra’anaaiyoo me kho rahtaa...!!!! teraa gudaaz badan terii neembaaz aakhein inhee haseen fasaano me mahv ho rahtaa...!!!! Pukaarti mujhe jab talkhiyaa zamaane ki terey labo se halaavat ke ghoont pee letaa...!!!! hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur main ghaneri zulfon ke saaye me chup ke jee letaa...!!!! Magar ye ho na sakaa ! aur ab ye ‘ aalam hai k tu nahii ...!! tera Ghum ! , teri justajoo bhi nahii...!!!! guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise ise kisii ke sahaare ki Aarzoo bhi nahii...!!!! Zamaane bhar ke dukho ko lagaa chukaa ho gale guzar rahaa hu kuch anjaani rah-guzaaro se, muheeb saaye merii simt barhte aate hain hayaat-o-maut ke purhaul khaar_zaaro se... Na koii jaadaa... na manzil...., na roshnii ka suraag... bhatak rahii hai Khalaa_oo me zindagii meri...!!!! inhii Khalaao me rah jaaoun_gaa kabhii kho kar main jantaa hu merii ham_nafas magar yuuN hi Kabhi kabhi merey dil me Khayaal aataa hai.......... 18 Shehr-e-Dil ki Galiyoon main Shaam se bhataktay hain Chand k Taman-na-ee Baiqarar Saudaii Dil Gudaz Tarikii Jan Gudaz Tanhai Rooh-o-Jaan ko Dasti haii Rooh-o-Jaan main Basti hai Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain Taak-e-Shab ki bailoon per Shabnami Sarshakoon ki Beqarar Logon nay Beshumaar Logon nay yadgaar chorhi hay Itni Baat Thori Hai ? Sud-Hazar batain thin Hela-e-Shakebaee Soraton ki Zebai Qamaton ki ranaii In siah raton main Aik bhi na yaad aae Ja bja bhataktay hain Kis ki rah taktay hain Chand kay taman'naee Ye Nagar Kabhi Pehlay Is Qadar Na Veeran Tha Kehnay walay kahte hain Qarya-e-Nigaraan Tha Khai apnay Jeenay Ka Yeh bhi aik samaan tha Aaj Dil main Veerani Abr ban kay Ghiraaii Aaj Dil ko kya Kahiyea Ba-Wafa Na Haarjae Phir Bhi Log Diwanay Aa gayay hain samjhanay Apni wehshat-e-dil k Bun liyay hain afsanay Khush khayal dunya nay Garmiaan to Jaati hain Woh rutaain bhi aati hain Jab Maluul raton may Doston ki baton may Ji na chain payay ga Aur oob jayay ga Aahaton say Gonjain gi Shehar-e-Dil ki Pinhaee Aur chand raton main Chandni kay Shedaii Har bahanay niklain gay Aarzoo ki Gairaii Dhondnay ko Ruswaii Sard Sard Raton ko Zard Chand Bakhshay ga Bay-Hisaab Tanhaii Bay-Hijaab Tanhaii Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main....... 19 ARZOO HAR SHAAM BUHT ROTA HUN mujhe tumhari judai ka koi ranj nahin ARZOO mere kheyaal ki duniya mein mere paas ho tum ye tum ne theek kaha hai tumhein mila na karon magar mujhe ye batao ke kiyun udaas ho tum wo jaa chuka hai to kiyun be-karraar itne ho muhabbat uss se karo jiss ko bhool saqte ho tamaam umr na milne ka hausla hi sahi tum apne dil mein koi ARZOO to rakhte ho ARZOO mit chale meri umeedun ki tarah harf magar aaj taq tere khatun se teri khushboo na gayi |
| The Following User Says Thank You to 13 Mera 7 Rhey For This Useful Post: | ||
Aisha Baig (04-21-2008) | ||
| Sponsored Links |
|
#2
| ||||
| ||||
| my vote is for Nazam 19 |
| The Following User Says Thank You to sabainshaa For This Useful Post: | ||
Aisha Baig (04-21-2008) | ||
|
#3
| ||||
| ||||
| my vote for nazam 9
__________________ Mayri serkashi bhi thi munfarid mayri ajzi bhi kamal thi main ana parast bala ka tha so gira to apny hi paon main... |
| The Following User Says Thank You to papa ki shehzadi For This Useful Post: | ||
Aisha Baig (04-23-2008) | ||
| Sponsored Links |