It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Nazam compet Dec 2006 within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#2
| |||||
| |||||
| Phir naya saal anay ko hai Khuda karay kay ye saal gaye saal kay zakhmon pay marham rakhay Khuda karayy kay ye saal nai khushion ki navid lai kay beeta saal bohat say dard day gaya bohat payaron ko bohat apnon ko saath lay gaya lekin... wo apnay log jin kay dam say zindagi thi, muskurahatein thein wo yaad nahi ain gay kiokay... yad to unko kertay hain jo bhool gain or jo her dharkan mein bastay hon unko kaisay bhulai lekin kahin gaye saal kay malbay talay zindagi phir muskura rahi hai bahar phir a rahi hai.....
__________________ ![]() Last edited by nailahkb; 12-19-2006 at 06:53 AM.. |
|
#3
| |||||
| |||||
| Meri jaan k Mosamey Zard mein Mere dil k Aang-e-Sard mein Yeh jo hasratoon ki hae Khangaa Yahaan deep jaltey hain Shaam ko Teri yaad k tere Piyaar k Yahaan Raqass karti hain Khushbuain Teri chahtoon k Khumar kien Sabhi zakham mehkey Gulab hain Magar ess mizar pe JAAN-E-JAAN Hain Udasiyoon k who roz-o-Shab Jinhain kattey Jinhain Jhaltey Meri Zindgi ka har aik pal Hain Aazab mein Hain Siraab mein Teri Khab mein he Guzar gaii Who jo Umar thi badey kaam ki Jisey Ziyst kehtey hain CharaGar Who toh Janey kab sey Kidar gaii Kabi G uthi kabi Mar gai Who yehnein kehein Bhigar gai Yeh jo Khuwahishoon ka Mizar hae Yeh jo Hasratoon ki hae KhanGaah Mere Dil k aangn-e-Zard mein Meri JAAN k mosam-e-Sard mein Yahaan Deep jaltey hain Shaam ko ---------------------------------- AASLAM SIMAB |
|
#4
| |||||
| |||||
| Naye Saal ki Pehli Kiran ! Jab tum us k darwazay per dastak do To itna usay kehna K intizar k deep jalaye Sirf Tumhain yaad rakhay Aur baqi sab bhulaye Koye ab bhi Aas ka daaman thamay Tumahri Raah Tak Raha Hay....!!! |
|
#5
| |||||
| |||||
| Suna hai nayaa saal pher aaraha hai Khushian b hongi , Baharain b hongi Mager hum tu guzray December ki sochoon mein gum hain K jab tu meray pass thi Hath tiara meray hath mein thaa Aur khushian char soo hamaray sath theen Mager ab akelay tumhain sochtay hain Yahee khoof daman say lepta howa hai K aisa na ho es bares b December Tumharay bina he kaheen beet jaeaa December to her saal ata rahai ga Mager tum na hogay tu kuch b na hoga Suna hai nayaa saal pher aaraha hai |
|
#6
| |||||
| |||||
| Phir Aik Saal Beet gaya Magar tum nahin aaye Aaisa na ho k Naya Saal bhi yon hi beet jaye Meri ummeden so jayen aur zindigi ki lo thartharanay lagay Tum Lot aao Dekho koye tumhain kitna yaad karta hay Lekin mujhe maloom hay k tum nahin aao gay Ye mosam yon hi guzar jaye ga Kyon k tum kisi Aur ki Zindigi ho Main to bas yon hi apna dil behlanay ko tumahin pukarti hon K SHAYED......!!!!! |
|
#7
| |||||
| |||||
| Mohabbat Ruth Jati hay!! --------------------------------- umeedon ki ye dorain kis tarha say tot jati hain yaqeeni beyaqeeni say yon kyon kar maat khati hay ye chahat bhe koi mosam hay jo yaksaan nahi rehta? koi rokay bhalay kitna, mohabbat ruth jati hay!!! dilon main khwahishain janay kyon itna kasmasati hain kisi ki yaad aksar khwab say hum ko jagati hain kabhi sukh day kay jati hain, kabhi dukh day kay jati hain koi rokay bhalay kitna, mohabbat ruth jati hay!!! mohabbat roshni hay dil kay angan jagmagati hai humain pehum chupay kuch ramz jenay kay batati hay hamaisha ek suhani yad ban kar gudgudati hay koi rokay bhalay kitna, mohabbat ruth jati hay!!! Ramzi~ Sydney 28-11-2006 |
|
#8
| |||||
| |||||
| nay bars ki awwalin saton mein Watan-e-aziz ki mohabbat mein likhi janay wali aik nazam......... Nay bars ki pehli ghari ha Ummeed ki nao Kinaray aan lagi ha Mun say aik dua nikli ha Yeh darta jo hum ko mili ha Ya Rab ab to rehmat ka saya kar da K yeh dhoop mein bohat jali hay!!!
__________________ zoya |
|
#9
| |||||
| |||||
| Ek brahman ne kahaa hai ke ye saal acha hai zulm ki raat bahut jald talegii ab to aag chulhon mein har ik roz jalegii ab to bhouk ke maare koi bacha nahi royega chain ki neend har ik shakhs yahaan soyega aandhi nafarat ki chalegii na kahin ab ke baras pyaar ki fasal ugaa_egii zamin ab ke baras nai yahan ab na koi shor-sharaaba hoga zulm hogaa na kahin Khoon-kharaaba hoga os aur dhoop ke sadame.n na sahega koi ab mere desh mein be-ghar na rahega koi naye vaado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal acha hai rahnumaao.n ne kahaa hai ke ye saal acha hai dil ke Khush rakhane ko "Ghalib" ye Khayaal acha hai |
|
#10
|
| |