It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay jab woh khiltay gulaab jesa thaa ous kee palkoan say neend chantii ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay jab woh khiltay gulaab jesa thaa ous kee palkoan say neend chantii thee ous ka lehjaa sharaab jesa thaa ous kee zulfoan see bheegti thee ghataa ous ka rukh maah'taab jesa thaa loge perhtay thay khadd-o-khaal ous kay woh adab kee kitaab jesa thaa bolta thaa zubaan khushboo kee loge suntay thay dharkan'oan mein ousay mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay! saari aankh'ain thein aa'inay ous kay saaray chehroan mein intikhaab thaa woh sab say ghul mil kay ajnabi rehna aik dunya numa saraab thaa woh khwaab yeh hai keh woh haqeeqat thaa yeh haqeeqat hai, koi khwaab thaa woh dil kee dharti pay aasmaan kee tarhaa soorat-e-saaya-o-shaab thaa woh apni neend'ain ousi kee nazar hoo'ein mein nay paaya thaa ratt'jagoan mein ousay mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay! mein nay daikhaa thaa oun din'oan mein ousay jab woh hans hans kay baat karta thaa dil kay khaimay mein raat karta thaa rang perhtay thay aanchal'oan mein ousay mein nay daikha thaa oun din'oan mien ousay yeh magar dair kee kahaani hai yeh magar dard ka fasaana hai ous kay meray milaap mein haa'il ab to saddiyoan bhara zamaana hai ab to youn hai keh haal apna bhi dasht-e-hijraan kee shaam jesa hai kia khabar in din'oan woh kesa hai mein nay daikha thaa oun din'oan mein ousay! |
|
#4
| |||||
| |||||
| nice poetry!!!!!!!!!
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Wah bOhet KhOob Umda Sharing .................... ................
__________________ ![]() |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| nay, daikha, thaa, oun, dinoan, ousay |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| msg/sms | imaan85 | Gup Shup | 302 | 07-23-2008 07:39 AM |
| ~~!!!- Us Chand Ki KhOgh Mein khOya Rhay Bhatka hUa Maan -!!!~~ | ~ HijR ~ | Nazam | 11 | 03-14-2008 07:36 AM |
| !!~ Shehar e Dil ki GaliyOn mein ~!! | ~ HijR ~ | Nazam | 10 | 12-15-2007 11:11 AM |
| ~!! jO Na Apnii Aag Mein jAl Sakey wO Paraaii Aag Mein jAl Gye !!~ | ~ HijR ~ | Ghazal | 6 | 10-08-2007 03:17 AM |
| ~Hina ka Rang Jaisay Aarzi ho~ | safeena | Urdu Poet Club | 37 | 05-31-2007 02:58 PM |