It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on kabhi yaad aao tau iss tarah within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; kabhi yaad aao tau iss tarah k lahoo ki saari tamazatein tumhein dhoop dhoop samait lein tumhein rang rang nikhar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| kabhi yaad aao tau iss tarah k lahoo ki saari tamazatein tumhein dhoop dhoop samait lein tumhein rang rang nikhar dein tumhein harf harf mein soch lein kabhi milnay ka jo shauq ho tau diyar-e-hijar ki teeragi! ko mayya ki nok se noch lein!! kabhi yaad aao tau iss tarah k dil-o-nazar mein utar sako kabhi had-e-habas-e-janoo barhay k hawas ban k bikhar sako kabhi khul sako shab-e-wasal mein kabhi khoon-e-dil mein mein sanwar sako sar-e-rahguzar jo milo... kabhi na thehar sako...na guzar sako! mera dard phir se gazal banay kabhi gun'gunao ..tau iss tarah meray zakham phir se gulab hoon kabhi mukaro..tau iss tarah meri dharkanein b laraz uthein kabhi chot kaho..tau iss tarah jo nahi tau phir baray shauq se sabhi raabtay, sabhi zaabtay kabhi dhoop chahoo'n mein taur do! na shikast-e-dil ka sitam saho na sunao kisi ka azab-e-jaan na kisi se apni khalish kaho yunhi khush phiro,yunhi khush raho, na ujar sakein na sanwar sakein kabhi dil dukao...tau iss tarah na simat sakein na bikhar sakein kabhi bhool jao..tau iss tarah kisi taur jaan se guzar sakein kabhi yaad aao ...tau iss tarah [/font]
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Sham aaie tere yadoon k sitary nikley rang he ghum k nahee naqsh bhe peyary nikley aik mohoom tamana k sahary nikley chand k sath tere hijr k mary nikley koi mosam ho magar shaan-o-kham-o-paich wo hee raat ke terhan koi zulf sanwary nikley raqs jinka humain sahil say baha laya thaa wo bhanwar ankh tak ayye tu kinary nikley wo tu jan laker bhe wesa he subak nam raha ishq k baab main sub jurm humary nikley ishq darya hy jo tery wo tahie dast rahy wo jo dobby thy kise or kinary nikley dhop ki ruot main koi chhaon ogata kasy shakh photi thee k humsayon main aary nikley. :cry6
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain woh aisa hai k us ka nam sunney k tasawwer say hi hamari tamaam tar saatein badal jati hain sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain chahe "manzil" "dushwar" ho aur "duur" bhi humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain yun to "raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| assalam alaikum flaver aap ki choice bahot achi hai magar mujhay aap ki thread ko aik thread mein merge karna par raha hai......... SOS mein mein aik din mein zyada se zyada sirf 3 threads post ki ja sakti hain kyunke aik hi member agar bahot zyada post kar de tou dosray members ki post 2nd page pe chali jayegi na ........is liye ye rule banaya gaya hai.......ummed hai aap ye baat samjhainge aur humaray saath ta'awun karenge.....khush rahain |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| yaad, aao, tau, iss, tarah |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Kabhi Ma YaaD aaon ToO!! | KaNcH ki GuDiYa | Nazam | 6 | 03-04-2008 12:44 PM |
| polling : Nazam contest for the month of January 2008 | Asifa | Nazam | 15 | 02-01-2008 02:28 PM |
| Dil dharaknay ka sabab yaad aaya | sahaf100 | Ghazal | 15 | 01-10-2008 10:06 PM |
| Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar | syed.owaisqadri | Ghazal | 11 | 01-10-2008 06:51 AM |
| kabhi royegi meri yaad mein tanha.....? | khalid-friendz | Ghazal | 7 | 07-13-2007 11:45 AM |