It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on kabhi jo mujh ko talaash kerna within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; haakim-e-shehar bata ! waqt ke shikanjoN ney khuwahishoN ke phuloN ko noch noch torra hey……. kiya yeh zulm thora hey? ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| haakim-e-shehar bata ! waqt ke shikanjoN ney khuwahishoN ke phuloN ko noch noch torra hey……. kiya yeh zulm thora hey? dard ke jazeeroN ney Aarzoo ke jeewan ko maqbaroN mein dala hey zulmatoN ke dairay hain….. log sab lutairay hain maut rooth baithi hey zaat raiza raiza hey zindagi tere hathoN paaimaal hey janaaN…… ik sawaaal hey janaaN… kaisay maan looN jeewan? saans hi nahin koi karb karb lamhay yeh baar baar dastay hain…… log hum pe hanstay hain taar taar Aanchal hey dard dard jeewan hey shabnami si palkaiN hain Qurb hey na doori hey …. zindagi adhooori hey ab yaqeeen aaya hey …. Maut bhi zaroori hey…! |
|
#2
| |||||
| |||||
| kabhi jo mujh ko talaash kerna kabhi jo mujh ko talaash kerna tou chand raaton ki chandni main Gul-e-chaman say sawal kerna udaas kiun ho?? kiun oos-Qatron main apnay aanso chupaa rehay hoo haseen mousam main kis ki yadoon main apnay dil ko jala rehay hoo Gul-e-chaman yeh sawal sun ker tumhari aamad ka haal sun ker kehay ga tum jis ko khoojtay hoo woo in baharoon ki sari khushboo churaa kay abb ik nay chaman main Mehek raha hay udaas ker kay yahan pay hum ko kisi chaman main chehek raha hay Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker tumhain lagay ga main baywafa hoon udaas kalioon ko choor ker main nai baharoon ko dhoondta hoon mager haqeeqat main is chaman kay tamaam phoolon ki khwahishon kaa aur in ki nakkam kavishoon ka haseen mousam ki barishoon ka naa meray dil per aser hoa tha naa meray dil per aser hoa hay main aaj bhi ik nay chaman main puranay qissay suna reha hoon joo mere chahat ka devtaa tha main aaj bhi us ko poojta hoon yaqeen nahi tou palat kay dekho waheen khara tha,waheen khara hoon |
|
#3
| |||||
| |||||
| nice .................... ...
__________________ |
|
#7
| |||||
| |||||
| bOhet KhOob Umda SharinG
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Wah bOhet KhOob Aik din mein 2 threads start karna allow hai so main ap k posts ko merge kar raha hon umeed hia next time rules ko fallow karien gey aap Thanx in advance |
|
#9
| |||||
| |||||
| |