Quote:
Originally Posted by Mayyaa humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah agar jale bhi to bas itni roshni hogi ke jaise tund andheron ki raah mein jugnu zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaayi de na shab katay na suragh-e-sahar dikhayi de humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar agar chale bhi to bas itni raah taye hogi ke tez hawaaon ki zard maa_ill naqsh-e-qadam zara si der ko ubhre ubhr ke mit jaaye phir us ke baad na raasta na rah_guzar milay hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay humari simt na dekho ke koi der mein hum qabila-e-dil-o-jaan judaa honay walay hain basay basaaye huye shahar apni aankhon ke misal-e-khana-e-weeraan ujarhnay walay hain hawa ka shor ye he hai to dekhtay rahna humari umar ke khemein ukharnay walay hain... |

stars and wishes S mayya jee