It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ham khuabon kay biaopari thay within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Ham khuabon kay biopari thay magar is main hoa nuqsan bara Kuch bakht main dheron kalak thi kuch ghazab ka ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Ham khuabon kay biopari thay magar is main hoa nuqsan bara Kuch bakht main dheron kalak thi kuch ghazab ka kaal para Ham rakh leay hain jholi main or sar peh hay sahokar khara Jab dharti sahara sahara thi ham darya darya roay thay Jab hath ki rekhain chup thin or sur e sangeet main khoay thay Tab ham nay jewan kheti main kuch khuab anokhay boay thay Kuch khuab sajal muskanon kay kuch bool boht dewanon kay Kuch lafz jinhain ma'ani na millain kuch geet shikasta janon kay Kuch neer o wafa ki shamon kay kuch pagal parwanon kay Phir apni ghail aankhon say kush ho kay lahoo chirkaya tha maati main maas ki khaad bhai or nas nas ko zakhmaya tha Or bhool gay pichli rutt main kia khoya kia paya tha Jab fasal kati to kia dekha kuch dard kay tootay gajray thay kuch zakhmi khuab thay kanton per kuch khakastar say gajray thay Or door ufaq kay sagar main kuch doltay doltay bajray thay Ab paon kharaon dhool bhari or taan peh joog ka chola hay sab sangi sathi bhaid bharay koi masha hay koi toola hay Ab ghaat hay na ghar dehliz hay na dar aab pass raha kia hay baba Bas yeh taan ki gathri baki hay ja yeh bhi too lay ja baba Ham basti ko choray jata hain too apna qarz chuka baba. |
|
#3
| |||||
| |||||
| buhat umdha sharing
__________________ Signature Removed - Only One Image is Allowed |
|
#4
| |||||
| |||||
| good sharing. .. . .. . ..
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Bas yeh taan ki gathri baki hay ja yeh bhi too lay ja baba Ham basti ko choray jatay hain too apna qarz chuka baba. maza aa gaya zabaradast.... |
|
#6
| |||||
| |||||
| waaah zabardast sharing |
![]() |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Is Waqt To Lagta Hay Kay Yahan!! | Eiesha | Nazam | 6 | 10-02-2007 11:22 PM |
| [SOLVED] Aiy Dost...! | FLAIR | Nazam | 2 | 10-01-2007 12:18 AM |