It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Competition: Nazam Contest of the Month 'April 2008' within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN magar hay kay jab qaza mujhay bazm-e-dehr say lay chalay to phir aik baar ye ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [3] |
|
#11
| |||||
| |||||
| Last edited by Aisha Baig; 04-04-2008 at 01:17 PM. |
| The Following 7 Users Say Thank You to Aisha Baig For This Useful Post: | ||
AAKHRI TARA (04-24-2008), creativity (04-12-2008), No Rose Is Without Thorns (04-17-2008), noon_noon (04-13-2008), Raygistaan (04-15-2008), silent atitude (04-24-2008), Tanya786 (04-24-2008) | ||
|
#12
| |||||
| |||||
| Ek beqarari main doob ker Ek masti main jhoom ker Mohabbat ne apna Izhaar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil say chaha! Khuwaab bane "Arzoo" ki tarhan Umeed bani Zindgi ki tarhan Her Ehsaas ne Iqraar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! Atebaar ka haath thaam ker Yaadon ko hamraah le ker Is Masoom ne be-ikhtiyaar chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! Ek khoobsurat Etminaan ki tarhan Tum hue hamari DUA ki tarhan Hum ne tumhain Toot ker chaha! Zindgi main pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha! ***************OH*** ***********
__________________ Akhiri $@n$........ |
| The Following 4 Users Say Thank You to Hafsa... For This Useful Post: | ||
|
#13
| |||||
| |||||
![]() Last edited by HG_Lover; 04-05-2008 at 11:58 AM. |
| The Following 4 Users Say Thank You to HG_Lover For This Useful Post: | ||
|
#14
| |||||
| |||||
| Zindagi say darrtay ho... Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hai'n... Aadmi say darrtay ho.. Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hai'n.. Aadmi zubaa'n bhi hay, aadmi bayaa'n bhi hay.. Is say tum nahee'n darrtay.. Harf aur ma'ani k rishhta haa-e-aahan say.. Aadmi hay waabasta.. Us say tum nahee'n darrtay.. "An-kahi" say darrtay ho.. Jo abhi nahee'n aaii us gharri say darrtay ho.. Us gharri ki aamad ki aa-gahi say darrtay ho.. Pehlay bhi to guzray hai'n... Daur na-rasaaii k, Bay-riya khudaaii k.. Phir bhi yeh samajhtay ho, hoge AARZOO mandi.. Yeh shab-e-zubaa'n bandi, hay raah-e-khuda-wandi.. Tum mager yeh kya jaano.. Lab ager nahee'n hiltay.. Haath jaag uth'tay hain.. Haath jaag uth'tay hain raah ka nishaa'n ban ker.. Noor ki zubaa'n ban ker.. Haath bol uth'tay hain subha ki azaa'n ban ker.. aushni say darrtay ho.. Shay'her ki faseelo'n may.. Deyo ka jo saaya tha, paak ho gaya aakhir... Raat ka libaada bhi... Chaak ho gaya aakhir, khaak ho gaya aakhir... Azdahaam-e-insaa'n say fardi nawa aaii... Zaat ki sadaa aaii... Raah-e-shauq may jaisay rah-ro ka khoon lapkay... Ik naya junoo'n lapkay... Aadmi chhalak utthay... Aadmi ha'nsay daikho, shay'her phir basay daikho... Tum abhi say darrtay ho...!!!
__________________ Last edited by ~TumBin~; 04-07-2008 at 08:38 PM. |
| The Following 3 Users Say Thank You to ~TumBin~ For This Useful Post: | ||
|
#15
| |||||
| |||||
| Reg-e-dasht-e-firaak
__________________ ALWAYS GIVE SMILE TO OTHERS Last edited by sana abid; 04-11-2008 at 07:14 PM. |
| The Following 3 Users Say Thank You to sana abid For This Useful Post: | ||
|
#16
| |||||
| |||||
| Yeh jo reg-e-dasht-e-firaaq hai Yeh ruke aggar Yeh ruke aggar toh pata chale K jo fasloon ki saleeb hai Woh garhi hoi ha kahan kahan Mere aasman se kidhar gayi Teri iltifaat ko woh kehkashaan Mere be-khabar mere be-nishaan Yeh ruke aggar toh pata chale Main tha kis nagar Tu raha kahan K zamm-o-makaan ki woosaatein Tujhe dekhne ko taras gayein Woh tere naseeb ki barishein Kisi aur chat pe baras gayein Iss reg-e-dasht-e-firaak main Rahe muntazir tere muntazir Rahi mere haal se be-khabar Teri rah guzar Tere ARZOO k hain be-karaan Meri zindagi k hain mukhtasir Yeh ruke aggar toh nishaan mile |
| The Following 3 Users Say Thank You to sana abid For This Useful Post: | ||
|
#17
| |||||
| |||||
| BAyNaaM uljhun ye kia baynaam uljhun hai na janay aagha'i aur khawab k mabeen kaisa masla hai k her takhleeq say pehlay ajab ik khoof dil ko ghair layta hai mujhay mehsoos hota hai mae apni akhri tehreer likhnay ja rahi hoon sukhun ki shab k mathay per wo meray naam k jitnay sitaray thay wafa k istaa'ray thay sub apni umer pori kr chukay hain yehi dharka sa rehta hai k jitnay shair likhay thay jinhien mae apnay honay ki gawahi ki terha mehsoos kerti thi ye ab na likhay jaien gay ye ab na soochay jaien gay mri nazmien jo ab tak ARZOON ka sunhairA AKus bun ker jhilmilati thien mohabbat ki zaminoon per utertay hijer k aur wisl k sub mosamoon ki baat kerti thien unhien tehreer kernay ka hunar bhi bhool jaon gi gumaan ye bay'sabati ka yaqeen bun bun k her lamha badi shiddat say meray zehan ka damun hilata hai yehi bawer kerwata hai k herf o lafz ka jitna aasasa tha fana ki serhadoon per hai sukhun sachaii ka sara tafakher tootnay ko hai mohabbat roothnay ko hai ye kia bynaam uljhun hai k her takhleeq say pehlay ajub ik khoof dil ko ghair layta hai mujhay mehsoos hota hai mae apni akhri tehreer likhnay jaa rahi hoon!!!! NooShi GiLLani
__________________ nevr do anything in lyf without thinking fully othrwse repentence'll b yr fate |