It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Amjad Islam Amjad within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Ankhon ka rung baat ka lehja badal gia Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya Kuch din to mera ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Ankhon ka rung baat ka lehja badal gia Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh Phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya Jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay To kiya huwa jo hum say zamana badal gaya Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari Us nay chhuraya haath to sehra badal gaya Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi Jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya Ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal Wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya Uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan Parda utha to saara tamasha badal gaya Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya Kehne ko ik sehan main deewar hi bani Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya Shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who Manzil kay paas aake jo rusta badal gaya Qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi Taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya Andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee Us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya Aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye Woh muskuraya or meri dunya badal gaya Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#2
| |||||
| |||||
| buhat hi aaallllaaaa
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| HM choice tu achi hai magar rong section main main ap ki poist move kar raye hun Keep sharing ............... ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| boht Khoob Sis................. .. |
|
#7
| |||||
| |||||
| SALAM khub khub buhat hi umda buhat hi aaaallllllaaaaaaa
__________________ A F S A N A |
|
#8
| |||||
| |||||
| very nice brother but aik request keroon ga kay plz yeh ghazal hay Amjad Islam Amjad ki tto agar aap isay Ghazal wali option main share kerain gay zayada behter rahay ga plz dont mind anyways very nice keep sharing jiyain khush rahin aap
__________________ SAGAR^JEE THE GREAT |
|
#10
| |
| |