Kabhi soochu
k woh ik shaks ju tum ko
bahoot hi khass rakhta hai
bina soochay bina samjhy
bahoot bhoolay se lafzoon main
ju dill ki baat kehta tha
sunu ger tum bura maanoo nahi
kuch baat kerni hai
main raatoon ko nahi soota
din bher bechain rehta hoon
tere gumaan ko ley ker
kayee pehroon main roota hoon
sanmbhalana chahta hoon per
main phir se toote jaata hoon
kassam khaata hoon main tum ko
tum hi ko chahta hoon
meri baatoon ko matt janoo
fakt dill lagi janaan
main her pell muzterb hoon
aahain bherta hoon
mujhy tenhaiyaan dey du
mere sab sukh bhi tum ley lu
mager mera yakeen ker lu
tumain main chahta hoon
kabhi ju tum samjh jaoo
tumain meri zaroorat hai
tu kuch matt sooochna
fakt daori chali aana
zara bhi dair matt kerna
meri jab tuk saansein qaim hai
tumhara muntazir hoon