It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aas Barhaney Lagti Hai ... within the Nazam forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Aas Barhaney Lagti Hai ... khiza'n ki udaas subha mein sardion ki shaamon mein... Aas barhnay lagti hai un-kahay say ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aas Barhaney Lagti Hai ... khiza'n ki udaas subha mein sardion ki shaamon mein... Aas barhnay lagti hai un-kahay say jazbon ki piyaas barhanay lagti hai baykali udaasi si baychain kiyey rakhti hai kissi kay sath ki, Dil ko tamanna honay lagti hai yoonhi qadam say qadam mila kar... kissi kay sath chalnay ko kissi ka hath thamay... dheeray say, Dil ki baat karnay ko, apna yaqeen dilanay ko kissi ka yaqeen karnay ko kissi kay garam hathon ka... haseen sa lamas panay ko kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein khud ko khoj laynay ko kissi ki narm muskurahat mein khud ko bhool janay koo... kissi ki mehekti khushboo mein yoon masroor honay ko kisi kay Dil mein khud ko dhondnay ko... jhaank laynay ko kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein, Dil kay samander mein... yaqeen ki lahar pay aahista say... dheeray, dheeray say tamaam gahraaiyo'n ko... jaan laynay ko Mohabbat ki seep mein Apna... Ghar banaanay ko Wafa kay noor say roshan aik sacha mooti paanay ko kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko kissi ki aas ka bin-baas lainay koo kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko kissi ko saray jazbay soonp daynay ko kissi kay gird apna hisaar baandh daynay ko kissi kay saath ka paband honay ko... khawaahish honay lagti hai Tamanna barhnay lagti hai Sardiyo'n ki shaamon mein narm garm jazbon ki talab barhnay lagti hai aas barhnay lagti hai un-kahay jazbon ki piyaas barhanay lagtti hai
__________________ Hamaree Neend k Beemar Jisam Per Shab Baar Adhuraay Khwaab ky Kohraay Barastay Rehtay Hain........ |
|
#2
| |||||
| |||||
| bohat zabardast........... ....
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| bohat khoob............... .
__________________ ![]() tAnHa TaNhA rAaToUn MiEn NeEnD NaHi AtI hAi YaAdIeN sAtAtI hAiN mUjH kO rUlAtI hAiN |