ik pyar ka naghma hai | | ik pyar ka naghma hai
mojon ki ravani hai
zindagi aur kuch bhi nahi teri meri kahani hai
kuch pa kar khona hai, kuch kho kar pana hai
jivan ka matlab to ana aur jana hai
do pal ke jivan se ik umr churani hai
tu dhar hai nadiya ki, mein tera kinara hun
tu mera sahara hai, mein tera sahara hun
ankhon mein samandar hai, a'shaon ka pani hai
tufan ko ana hai, aa kar chale jana hai
badal hai ye kuch pal ka chha kar dhal jana hai
parchayan reh jatin, reh jati nishani hai
jo dil ko tassali de wo saz utha lao
dum ghutnay se pehlay hi wo awaz utha lao
khushbu ka turkham hai, ashkon ki zabani hai
Santosh Anand |