Quote:
Originally Posted by sm_saki83 Agar kabi meri yaad aay
to Chaand Raton ki narm, Dilgeer Roshni main
Kisi sitaaRe ko dekh lena
agaR woh nakhl-e-falak se gir kar
tumhaare qadmon main aa gire
to yeh jaan lena
woh ist'aara tha mere dil ka
agar na aay...
Magar yeh mumkin hi kis tarah hay
k tum kisi par nigaah daalo
to uski deewaar-e-jaan na tootey
woh apni hasti na bhool jaay
Agar kabhi meri yaad aay
guraiz karti hawa ki lehron peh haath rakhna
main khushbuoon main tumhain miloon ga
mujhe gulaabon ki pattion main talash karna
main Ous Qatron k Aainon main tumhain miloonga
Agar Sitaron main...Ous qatron main
na paao mujh ko
to apne qadmon main dekh lena
maiN khaak hoti musaafton main
tumhain miloonga
Kahin jo jalta charaagh dekho
to Jaan lena
K har patange K saath
Main bhi sulagh raha hoon
tum un patangon ki Raakh chun kar
Darya main daal dena
maiN Khaak ho kar
Samandron ka safar karoonga
kisi na dekhe hue..
Jazeere peh ruk kar
sadaayn doonga
Samadndron K safar peh Niklo
To us Jazeere peh tum Utarna |
MY FAV ONE..........
BOHOT HI KHOOB............
***** 4 U.........