Phir Chal Pada Musafir | | ----------------------------------------------------------------------
Musafir - Harsh
----------------------------------------------------------------------
Phir chal pada musafir bhidh mein tanha sa,
Rukta to bhi kiske liye, Safar ke toofan mein hain sahma sa,
Dost hokar bhi bbegane lagte hain..humsafar hokar bhi hain ajnabi,
Puchta hoon khudse, Kya mein itna uljha hua hoon ya hain yeh meri berukhi.
Andar hi Andar sisakne ki aadat se ho gayi hain,
Pehle to kabhi siskiyan sunai deti thi..ab to woh bhi begani ho gayi hain,
Jaldi bade banane ke junoon ne bachpan hi cheen liya,
Ab bachpana karne ko jee bahut chahta hain lekin duniyadari ne woh hak bhi cheen liya,
Khudgarz zamaane se khafa hokar kya karna,
Khud duniyadaari na sikhi to kisko dosh dena,
To ab Musafir kya kare..Chourahe pe khade khade thak chuka hain,
Kitne chourahe aaye aur chale gaye.kya musafir bhatak chuka hain ?
Khayalon mein rahta hoon aur khwabo mein jeeta hoon,
Mein Musafir hoon...Musafir ki tarah jeeta hoon .
---------------------------------------------------------------------- |