tulu-e-shams-e-mufaraqat hai !
purani kirnaay ...
naye makano k anganoo me
laraz rahi hain ...!!!!
...
fasil-e-shahar-e-wafa k rozan
chamakte zarron se bhar gai hain ..!!!!
gaye dino k aziz batain...
nigar subahe... gulab ratain...
bisat-e-dil bhi ajib shay hai ,
hazaar jeetain ... haazar maatain..!!!!
judaiyo ki hawayain lamhon ki Khushk matti ura rahi hain ...
gai ruton ka malal kab tak ..??
chalo k shakhe to tutati hain...!!!
chalo k qabro pe khun rone se
apni ankhain hi phutti hain ..!!!
ye mor vo hai
jahan se mere tumhare raste badal gaye hain...
purani rahon ko lautana bhi hamari taqdir main nahi..!!!
k raastye bhi hamare qadmo k sath agye nikal gaye hain ..!!!
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai !
tum apni ankhon me jhilmilate hoye
sitaron ko maut de do....!!!!
gai ruton k tamam phuloon ..
tamam kharon ko maut de do...
naye safar ko hayat bakhsho !
k pichli rahon pe sabt jitne noqoosh-e-pa hain
wo baar honge
hawa uraye k tum uraao !
(Amjad Islam Amjad)