zindagi key meley main
Khuaahishoon key reley main
tum se kiya kahein jaanaa
is qadar jhamele main
waqt ki ravani hai
baKht ki giraani hai
saKht bezamini hai
saKht laamakaani hai
hijr ke samandar main
taKht aur taKhte ki
aik hi kahaani hai
tum ko jo sunaani hai
baat go zaraa si hai
baat umr bhar ki hai
umr bhar kii baatein kab
do ghari main hotii hain
dard ke samandar main
anginat jaziiren hain
beshumaar moti hain
ankh ke dariiche main
tum ne jo sajaayaa tha
baat us diye ki hai
baat us giley ki hai
jo lahoo ki Khilvat main
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiloon par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagi se lambi hai
baat rat_jage ki hai
raaste mainn kaisey ho
baat taKhaliye ki hai
taKhaliye ki baatoon main
guftagoo izaafi hai
pyaar karane waloon ko
aik nigaah kaafi hai
ho sakey to sun jaao
aik din akeley main
tum se kiya kahen jaanaana
is qadar jhameley main