<!--QuoteBegin--khamaaj+June 27 2003,9:56--><table border="0" align="center" width="95%" cellpadding="0" cellspacing="0"><tr> <td>Iktabaas (khamaaj @ June 27 2003,9:56)</td></tr><tr><td id="QUOTE"><!--QuoteEBegin--><font color='#000000'>na mein paas us ko bula saka, na dil ki baat suna saka
woh hansi hansi mein hi chal dia ke mein haath tak na hila saka
mujhe kia khabar ke woh kia hoya mujhe kitna khumaar tha
mein khara tha is ke hisaar mein mere ird gird ghubaar tha
younhi soochta raha dair tak magar us ko kuch bata na saka
na mein paas us ko bula saka na mein dil ki baat suna saka
na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi raat se
hai bacha hi kia jo legaya mujhe cheen ker meri zaat se
yeh maqaam hi ajeeb sa ke mein khudh ko bhi na bacha saka
na mein paas us ko bula saka na dil ki baat suna saka
yeh bhi theek hai ke woh chala gaya mujhe bund rastey pe choor ker
yeh bhi theek hai ke na aaye ga kabhi but ana ka woh tour ker
woh juda bhi kaise hoya ke mein koi rasm bhi na nibha saka
na xmein paas us ko bula saka na mein dil ki baat suna saka
woh hansi hansi mein hi chal dia ke mein haath tak na hila saka ... !</font>[/b][/quote]
<font color='#0000cc'>boha t zabardast...</font> |