Harf-e-galat | | Usay louh-e-dil par likha tu hai badi shaan se...........baday maan se tu ye sooch gheri se kis liye...........? ye jo sooch hoti hai jan-e-jan! ye ado hai dil k sawaal ki ye kari hai asl zawaal ki ho kahan wafaoun k naqsh pa ye mitaey deti hai barmala chalo,es tarha se tu theek hai hon jafa k jitnay bhe silsilay ya khayaal hon! hon jo bhool janay k faisalay ya malaal hon! nahi harj inko mita he do......... suno ban paday tu ye soochna mera piyaar harf-e-galat nahi |